Monday, May 20, 2024
HomeIndiaVotes Se Ziyada Votes Ki Ginti, Intikhabaat Mein Dhanadliyoun Ki...

Votes Se Ziyada Votes Ki Ginti, Intikhabaat Mein Dhanadliyoun Ki Simt Ishara

New Delhi : Duniya ke sab se baday jamhoori mulk Hindustan mein 17th  lok sabha intikhabaat ke mauqa par aksariyat ka yeh gumaan tha ke siyasi, samaji, muashi aur ikhlaqi aitbaar se nakaam hochuki Modi  hukoomat dobarah Iqtidaar mein nahi aeyegi aur ho sakta hai ka is martaba muallaq parlimani hukoomat banaygi lekin intikhabaat ke baad jo nataij aaye is mein BJP aur uski Haleef jamaaton ki shandaar kamyabi nay sab ko chonka diya aur sath intikhabaat ke nataij ke shafaaf honay par sawalia nishaan lagadiya hai .

Lok sabha intekhabat 2019 ke mutaliq pehlay hi kayi shabhat zahir kiye jarahay hain aur ab is hawale se ek sansani khaiz inkishaaf hua hai. ek report mein daawa kiya gaya hai ke chaar reyaston ki kayi nishistoun par vote shumari jumla raye dahi se ziyada ki gayi hai. jin nishistoun ke hawala se yeh inkishaaf hua hai is mein teen high profile nishistain Bihar ki patna sahib, Jahanabad aur Begusarai shaamil hai .

Votes  ki ginti ke hawale se ye report news click Website par shaya ki gayi hai, jis mein bataya gaya hai ke Bihar , Uttar pradesh, Dehli aur Madhya pradesh mein kuch nishistoun par jumla raye dahi se ziyada tadaad mein vote gine gaye hain .

Report mein mazeed kaha gaya hai ke jin parlimani halqon mein votes  ki ginti ki jaanch hui un mein se kam az kam ek qisam ki gadbadi harnay walay umeed waar ke votes  ke farq se bhi ziyada hai. yeh report aisay waqt mein shaya hui hai jab nataij ka elaan honay ke baad se lagataar electronic votng mation ( EVM ) mein be zabtgiyan honay ke ilzaam lag rahay hain. oppostion naay Bihar , Uttar pradesh, Haryana sameit kayi reyaston mein EVM ke sath Chedh Chadh ka ilzaam aed kiya hai .

Election Commission ki Website aur voter turn out app se jama kiye gaye adaad wo shumaar ke hawala se report mein kaha gaya hai ke 20 laakh 51 hazaar 905 votoron walay patna sahib halqa intikhab mein 46.34 feesad polling darj ki gayi. wahan 9 laakh 50 hazaar 852 vote daaley gaye lekin ginti 9 laakh 82 hazaar 285 votes  ki hui. yani is nishist par 31 hazaar 433 votes  ka farq nazar aa raha hai. yahan se BJP umeed waar naay 2.84 laakh votes  se jeet darj ki hai.

Wahein 19 laakh 54 hazaar 484 votoron wali Begursarai nishist par 61.27 feesad raye dahi hui. yahan 11 laakh 97 hazaar 512 vote daaley gaye lekin votes  ki ginti 12 laakh 25 hazaar 594 votes  ki hui yani raye dahi aur votes  ki ginti mein kal 28 hazaar 82 votes  ka farq hai. is nishist par BJP umeed waar taqreeban chaar laakh votes  ke farq se jeetnay mein kamyaab raha. report ke mutabiq is ke alawa mashriqi Dehli , Madhya pradesh ki gina aur Marina , Uttar pradesh ki badayoun aur Farukhabad ki nishistoun par bhi dhundli hui hain jahan raye dahi aur raye shumari ki tadaad mein farq hai .
Is maamla par jab teen sabiq Election Commission se se rabita kiya gaya to unhon nay herani ka izhaar karte hue kaha ke Election Commission ko is maamla par safai dainee chahiye ya phir votes  ke adaad mein gadbadi ke mail ko hal karna chahiye. is se qabal patna sahib se harnay walay congress rehnuma Shatrugan Sinha nay shak zahir kiya ke is nishist par koi bada khail to zaroor hua hai . –YTN STAFF