Hyderabad : Markazi wazeer mumlikat baraye umoor dakhla G. Kishan Reddy ne jammu wo Kashmir ko khusoosi haesiyat dainay walay article 370 ko mansookh karne ke baare mein kaha ke’ yeh vote ke liye nahi balkay mulk ke awam se kiye gaye waday ki takmeel ke liye kiya gaya hai.
Unhon ne waadi ke halaat se mutaliq kaha ke ”kuch azlaa ko chodhe kar, waadi Kashmir mein majmoi tor par sorat-e-haal mamool par hai. Kishan Reddy ne article 370 ki mansookhi, aur ubharte hue Hindustan par asrat ke unwan par guftagu ke douran yeh baat kahi.
Is se qabal 21 august ko Kishan Reddy ne kaha tha ke jammu wo Kashmir mein aman wo Amaan ki sorat-e-haal kharab karne ke Pakistan ki bad niyati ke paish-e-nazar markaz ne kuch pabandiyan aa-ed ki hain. aur oppostion rehnumao ko wahan ka dora karne ke liye kuch din intezar karna chahiye.
wazeh hoke paanch august ko jammu wo Kashmir se, article 370 ki teen daf-aat mein se 2 ko mansookh kar diya gaya tha. abhi tak security ke paish-e-nazar security forces ki ek badi tadaad tainaat ki gayi hai.
Kayi dinon se phone, internet band kiye janay ke baad ab inhen aahista aahista shuru kiya ja raha hai aur hukoomat ke mutabiq yahan ki sorat-e-haal din badan mamool par aa rahi hai. –YTN STAFF