Monday, April 21, 2025
HomeSliderVisit Visa mein ab tajdeed bhi hogi

Visit Visa mein ab tajdeed bhi hogi

Dubai: Sayaho ke liye duniya ke ahem maqamat mein sair karna tarjeeh hota hai aur pasandeeda mumulk mein UAE sare fehrist hota hai ye hi wajah hai ke Emarat ke arbab majaz sayaho ko nai nai sahuliyaat faraham karne mein har waqt sargaram rehtay hain. UAE mein shehriat aur qomiat ke wifaqi idaray ne visit visa aur sayahati visa par anay waloun ke liye ek aur sahoolat ka elaan kar diya hai.

Tafseelaat ke mutabiq ab tak ye hota tha ke kisi ne visit Visa leya ho ya sayahati visa par wo Emarat pouncha ho aur is ke Visa ki meyaad khatam ho gayi ho to aisi soorat mein usay Visa ki meyaad ki pabandi karte hue mulk se wapas jana hota tha lekin ab sayaho ko wapas jaaane ki zaroorat nahi hai.

Emarat ne nai sahoolat ye di hai ke agar koi shakhs Visit ya sayahati Visa par Emarat aaya aur wo is mein towsee karwana chahta ho to aisi soorat mein towsee androon mulk se hi ho jayegi. Usay az sar no visa haasil karne ke liye Emarat se bahar nahi jana hoga. Bas ek shart hai ke majmoi tor par Emarat mein qiyam ki muddat 6 mah se ziyada nah ho.

Shehriat aur qomiat ke wifaqi idaray ne rujoo karne waloun se kaha hai ke wo shehriat aur qomiat ki application istemaal karen. Is ki badolat inhen mutadid sahuliyaat haasil hon gi. Smartphone application ke zariye idaray se rujoo kiya ja sakay ga. Wazeh rahay ke Emarati kabeena ne apne aakhri ijlaas mein duniya ke tamam mumulk ke liye 5 sala kaseer ul maqsad sayahati Visa jari karne ka faisla kiya hai. Is ka maqsad duniya bhar ke logoun ke liye Emarat ki sayahat ko asan banana aur logoun ko Emarat ki sayahat ki raghbat dena hai. –YTN STAFF