Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaVishakhapatnam Metro Train ka khawab

Vishakhapatnam Metro Train ka khawab

Vishakhapatnam: AP ke Vishakhapatnam ke rehne walon ka Metro Train ka khawab imkaan hai ke aindah 4 baras mein sharminda tabeer hojaye ga kyunkeh Urban Mass Transit Company  ( UMTC ) ney pehlay hi is talluq se tayyariyan shuru kar di hain aur light aur tram Corridor ke liye tafseeli Project report ki tayari ke kaam shuru kardiye gaye hain. Amravati Metro Rail Corporation is project ke takhmini masarif ki tayari mein sargaram hai.

Light metro Rail Corridors ki taamer fi kilo miter 200 crore rupiye ke takhmini masarif se hogi jabkay tram raahdaari ka tamirka takhmini sirfh 100 crore rupiye taa 120 Crore rupay ke darmain lagaya jaraha hai. UMTC ney hukoomat ko mah November tak tafseeli project report ki tayari aur adkhal par razamandi ka izhaar kiya hai jabkay tram Corridor ke liye DPR ke adkhal ka kaam decemeber mein kiya jaye ga. Hukoomat ney 2 tafseeli project report ki tayari aur is ki takmeel ke liye 6 mah ki mohlat di thi taham Covid-19 ki wajah se nafiz kardah lockdown ki wajah se is kaam mein takher hugayi.

UMTC nay November ke akheer tak light metro ke liye tafseeli project report ki tayari aur December ke aakher tak tram Corridor ke liye tafseeli project report ki tayari aur adkhal ke liye razamandi ka izhaar kiya hai. Light metro project 79.91 Kilometers ka ihata karta hai. Amravati metro rail corporation nay mukhtalif mumalik ke projects ka jaiza lainay ke baad is project ke masarif ke ibtidayi takhmeenah ko teyar kiya hai.