Sunday, June 2, 2024
HomeTrending NewsVisa mansookh karwanay ya Fees wapas lainay ki sahoolat ka elaan

Visa mansookh karwanay ya Fees wapas lainay ki sahoolat ka elaan

Riyadh: Saudi wizarat afradi qowat o samaji behbood ne Novel Coronavirus ki waba shuru honay se qabal visay nikalwane walay idaroun, Companiyon aur afraad ko badi sahoolat di hai. Visa mansookh karanay ya Fees wapas lainay faislay par amal kiya ja raha hai. Yaad rahay ke visay nikalwane walay khaufzadah they ke waba ki wajah se parwazoun par pabandi aur deegar hifazati iqdamaat ke baais visa istemaal nahi huve aur filwaqt un se istifada mushkil nazar araha hai. Aisi soorat mein un ki bhaag daud aur Visa Fees zaya hora hee hai.

Tafseelaat ke mutabiq wizarat afradi qowat o samaji behbood ne wizarat kharja ke taawun aur is ke sath yakjahti se elaan kiya hai ke jin niji idaroun ya companiyoun ne mulazimat ke visay jari karwaye they aur wo Visa istemaal nahi kiye gaye ya Visa Passport par lag gaye they lekin karkun bain ul aqwami parwazoun ki muatali ki wajah se safar nah kar sakay, Ye loog Visa Fees wapas bhi le satke hain aur Visay mansookh bhi karasakte hain.
Wizarat afradi qowat ke mutabiq ke Saudi hukoomat ne ye sahoolat Novel Coronavirus COVID-19 ko phelnay se roknay ke liye peshgi hifazati iqdamaat se runuma honay walay manfi asraat ka boojh kam karne ke liye muhayya ki hai. Saudi hukoomat chahti hai ke sarkari aur khangi idaray waba ke nuqsanaat se kam se kam mutasir hon. Yaad rahay ke wizarat afradi qowat is silsilay mein wizarat kharja, Wizarat khazana aur National Information Center teenoun se mil kar karwai kar rahi hai. 18 March 2020 ko Shahi farmaan ke ijra ki tareekh se le kar ab tak Passport par lagey huve Visa jo ta haal istemaal nahi huve un ki Fees wapas li ja sakti hai aur inhen mansookh bhi karaya ja sakta hai. –YTN STAFF