Friday, April 19, 2024
HomeSliderVirat Kohli ki sabakdosh se Lara ko mayoosi

Virat Kohli ki sabakdosh se Lara ko mayoosi

Dubai: West Indies cricket ke legend brain Lara Hindustani captain Virat Kohli ke is saal October November mein muttehida Arab imaarat aur Oman mein hone wale ICC T20 world cup ke baad T20 captain ke auhde se sabakdosh hone ke faisle se hairan hain. Haal hi mein social media par jaari kardah ek bayan mein kohli ne kaha hai ke kaam ka boj samajhna ek buhot ehum cheez hai aur pichle 8 ya 9 saal mein mere buhot zyada kaam ke boj par gaur karte huwe tamaam 3 formet khailna aur ainda 5 ya 6 saal tak ba qaidagi se captain Karna mujhe lagta hai ke mujhe apne aap ko jagah dene ki zaroorat hain taake test aur oneday cricket mein Hindustani team ki qiyadat ke liye mukammil taur par tayyar reh sakoo.

Kohli ke is faisle par cricket.com ke saath ek video baat cheet ke dauran kaha mai sadme me tha Kyu ke mujhe lagta hai ke usne kohli zabardast kaam kiya hain. Tamaam bade mumalik jaise junoobi africa England Newsland Australia ke khilaf khaila in sab ko shikast di aur mere liye usne zabardast kaam kiya hain yeh darasal captain ki haisiyat se unka pehla T20 world cup hai lehaza iske baad ba taur e captain unka career khatam ho jayeiga. Yeh bada sadma hai lekin jis khisam ki shiddat ke saath woh khailta hai mujhe lagta hai ke

kabhi kabhi ek khadam door rehna acha lagta hai tawajjeh khail ke kisi aur formet par ho sakti hai jab main khail raha tha toh mujhe bhi yeh masail darpaish the jab main ne ek do baar captain ke auhde se sabakdosh hogaya kyun ke yeh bohut zyada dabao ka shikar karne wala kaam hota hai.