Tuesday, May 21, 2024
HomeIndiaVirabal Nag Ne Sumini Aur Pratibha Se Ek Hi Waqt Mein Shadi...

Virabal Nag Ne Sumini Aur Pratibha Se Ek Hi Waqt Mein Shadi Karli

Raipur : Chattisgarh  ke bistar ke qabaili samaaj mein ek aisi anokhi shadi hui hai jis mein ek hi dulhay ko 2 dulhnoun ne muntakhib kiya hai aur ek sath shadi bhi ki aur is shadi ko muashray ke bhi logon ne qubool kiya hai. bistar zila ke Barsur qasbay se muttasil Machnar gaon mein yeh ajeeb aur anokhi shadi anjaam payi jahan dulha Virbal naag ne do ladkiyon Sumini aur pratibha ke sath ek dosray ke sath phairay liye aur shadi ke bandhan mein bandh gaye .

Is shadi ki ahem baat yeh thi ke dono ladkiyon ki razamandi ke baad poooray muashray ke samnay Halwa samaaj ke riwayati rasam wo rivaaj ke sath hui. is mein samaaj ke log aur rishta daar bhi shaamil hue. darasal Machnar se talluq rakhnay walay Virbal aur karakot ki rehne wali ladki sumini ne pehlay ek dosray ko pasand kiya aur dono sath rehne lagey lekin unki samaji rasam wo rivaaj se shadi nahi hui thi. chand mah baad sumini apne maayke lout gayi aur is ne wapas anay se inkaar kar diya. umeed mein do saal ke baad virbal ne Chalki Barsawur Parah se talluq rakhnay wali Pratibha ko shadi ke liye raazi kar liya to woh is ke ghar aakar rehne lagi .

kuch waqt baad dono ki shadi ki tayari honay lagi. is douran sumini lout aayi aur shohar ke sath rehne ki khwahish zahir ki. maamla police station tak poanch gaya. Barsur  police station mein baat cheet ki gayi to dono ladkiyon ne ek hi shohar ko apnane mein razamandi zahir ki. samaaj ke mazzin ne bhi is par haami bhari aur dono ki shadi halwa samaaj ke rasam wo rivaaj se karwai gayi .

Dulhay ke waalid chuni ray umm ne betay ke faislay par khushee zahir karte hue kaha ke ghar mein chain wo sukoon rahay, is se achi baat aur kiya ho sakti hai. zila halwa samaaj ke qanooni musheer harya  laal degal ne kaha ke is tarhan ka yeh munfarid maamla hai. ab tak aisi shadi ke baray mein kabhi nahi suna tha .

Is shadi ne hindustani samaaj mein ek nai behas ki raah hamwar kar di hai kyunkay zafrani jamaaton ke maan-ne walon ka yeh muaqqaf hota hai ke musalman ek se ziyada khawateen se shadi karte hain jo kay khawateen ke sath na-insafi hai lekin ab is shadi ne wazeh kar diya hai ke ek se ziyada khawateen se shadi ek fitri amar aur samaji zaroorat bhi hai . –YTN STAFF