Wednesday, May 8, 2024
HomeSliderVijayshanti aur deegar qaideen ki BJP mein shamoliat se secular awam masroor

Vijayshanti aur deegar qaideen ki BJP mein shamoliat se secular awam masroor

Dubbakka aur  GHMC  intikhabaat hukmaran jamaat  TRS  aur secular awaam ke liye mayoos kun rahay jis ke baad –apne mafadaat ke liye party badalnay walay qaideen ne Bjp  mein shamoliat ki rahein ikhtiyar karli hain jin mein sare fehrist naam  TPCC  ki muhim committee ke chair person Vijayashanti  ka jinhon ne Bjp mein shamoliat se qabal Dehli mein Amit Shah se mulaqaat karte hua Bjp mein apni mustaqbil ko tabnaak bananay par tawajah markooz karli hai lekin congress aur Trs chand qaideen ki Bjp mein shamoliat se secular halqay kaafi masroor hain jis ki apni kayi aik wajuhaat hain .

Tpcc ki muhim committee ke chairperson Vijayashanti ne markazi wazeer e dakhla Amit Shah se Telangana  Bjp ke sadar  Bandi Sanjay Kumar, markazi wazeer mumlikat bray dakhla G Kishan Reddy  aur party rehnuma  G Vivek  ke sath Dehli mein Shah ki rehaish gaah par mulaqaat ki. is mulaqaat ke baad Bjp  zaraye ne wazeh kiya ke Vijayashanti Bjp  ke qaumi sadar  J P Nadda  ki moujudgi mein Bjp  mein shaamil hongi. Afwahen phail rahi hain ke mukhtalif partiyoun ke kayi rehnuma bhi Bjp  mein shaamil honge. yeh samjha jata hai Bjp  sabiq wazeer aur congress leader I Chandar Sheker  ko apni taraf mutwajjah karne ki koshish kar rahi hai. woh Bjp mein shaamil honay ke liye tayyar dikhayi day rahay hain. Chandar shekhar  TDP  hukoomat mein wazeer thay. baad mein unhon ne TRS  mein shamuliat ikhtiyar ki. taham unhon ne TRS sirbhara aur Cheif Minister KCR se ikhtilafat ke baad  TRS  chod di aur Congress mein shaamil hogaye .

Ek ke baad deegar qaideen ki janib se BJP mein apne mustaqbil ko talaash karne ki koshish ne secular halqoun ko masroor kardiya hai kyunkay yeh jo qaideen BJP mein shaamil ho rahay hain is qabal woh Congress ya deegar jamaatoun mein rehne ki wajah se secular awam ke vote un ke haq mein jatay rahay hain lekin ab jabkay yeh BJP  mein shaamil ho rahay to un ki janib se jo secular vote munqasim ho jatay thay ab un ki taqseem ruknay ke imkanaat zyada hogaye hain jis ka shayad raast fayda TRS  ko hi ho sakta hai .