New Delhi : Mafroor sharaab farosh Vijay Mallya nay Enforcement Directorate ( ED ) ke zareya unki jayedad zabt kiye janay se roknay ke liye supreme court ka rukh kiya hai. Hindustan mein 9,000 crore Rupay ke bank qarzoun ko ada na karkay mallya faraar hogaye thay. aur is waqt inhen Bartania mein hawalgi ki karwai ka saamna karna pad raha hai. adalat ki janib se peer ko mallya ki appeal par samaat kiye janay ka imkaan hai.
Zaraye ke mutabiq, Vijay Mallya nay ED ke daira ikhtiyar ko woh mafroor muashi mujrim ( FEO ) act 2018 ke tehat unki tamam jayedad zabt karne. Ko challenge kiya hai. unka kehna hai ke un mein se bohat si jayedad 1919 mein haasil ki gayi hain, aur unka bank qarzoun se koi talluq nahi hai.
Mumbai high court nay 11 July ko malya ki jayedad zabt karne ke silsila mein khusoosi adalat mein karwai roknay se inkaar kar diya tha. Is khususi adalat nay mallya ko mafroor Muan-she mujrim qarar diya tha, aur phir money laundering ki rok tha meem ( PMLA) se mutaliq muqadmaat mein iski jayedad zabt karne ke liye karwai shuru kar di thi. –YTN STAFF