Saturday, May 4, 2024
HomeOthersHealthVideogames ki lat se awam ko nijat dilanay ke liye pehla dawakhana...

Videogames ki lat se awam ko nijat dilanay ke liye pehla dawakhana muta-arif karne ka elaan

Dubai: Videogames sahet aur deegar shobay ke mahireen ki nazar mein ek laanat tasawwur ki jati hain aur mukhtalif Videogames bachay, badey aur khawateen sab hi badey shouq se kheltay hain. shuru mein unka shouq bhala lagta hai lekin rafta rafta ye lat mein tabdeel hojata hai. Videogames ki lat bachoun, ladkoun, ladkiyoun balkay budhoun tak ko khanay peenay, sonay, school jaaney, mulazimat ke liye daftar ka rukh karne tak se rok deti hai. kayi log is lat ke ki wajah se apni sahet barbaad kar letay hain.

Alqatasadeya ke mutabiq UAE nay 2020 ki pehli seh mahi ke douran Videogames ki aadat chudanay ke liye pehla cilinic muta-arif karne ka elaan kiya hai. UAE ke qaumi markaz ke director Dr. Hamad Al Ghaferi nay kaha ke hukoomat nay Videogames ki aadat se nijaat haasil karne  aur aadat mein mubtala afraad ko mamool ke mutabiq zindagi guzaarne ka aadi bananay ke liye markaz qaim kiya hai. yahi markaz aindah baras Abu Dhabi ke apne sadar daftar mein pehla cilinic kholega.

Al Ghaferi nay mazeed kaha hai ke cilinic mein muqami shehrion ka ilaaj muft kiya jayega. tarkin watan se alamati fees li jayegi. inhen bhi cilinic mein ilaaj karwane ki sahoolat muyassar hogi. Al Ghaferi nay mazeed kaha ke Videogames ki lat mein mubtala afraad ke ilaaj ke tor tareeqoun ke maahir afraad tayyar kar rahay hain. inhen tarbiyat de rahay hain taakay sab log is se behtar andaaz mein mustafeed hosakein.

Cilinic mein bachoun ka bhi ilaaj hoga aur ziyada Umar ke logoun ko bhi ye sahoolat mileygi. Dr Hamad Al Ghaferi nay kaha hai ke aalmi idaara sahet nay Videogames ki lat ko bain-ul- aqwami amraaz ke zamray mein shaamil karliya hai. is lat mein mubtala afraad ka ilaaj be-had zaruri hogaya hai kyun-kay ye aadat intehai darjay muzir sahet hai. -YTN STAFF