New Delhi. Supreme Court ney budh ko Koregaon. Bhima tashadud muqadma mein maakhoz 5 Activists ki ghar par nazarbandi mein 17th September tak tausee kar di hai. Adalat e Uzma huqooq insani ke Jahedkaron Professor Varavara Rao, Arun Ferieria Varnun Gonsalves, Sudha Bhardwaj aur Gautam Navlakha ki giraftari ke khilaaf daayir kardah darkhwast ki samaat kar rahi thi. Chief Justice Deepak Misra, Justice A.M Khanvelkar aur D.Y Chandrachod par mushtamil bench ney Historian Romila Thapar aur deegar chaar ki daayir kardah petition par samaat ko is darkhwast par ke petitioners ki numaindagi karne walay Senior Wakeel Mr. Abhishek Manu Singhvi dusri adalat mein masroof hain, 17th September tak multawi kardiya. Maharashtra Police ney guzishita baras 31st Decemeber ko Koregaon Bhima mein munaqidah ”Yalghaar Parished” jalsa ke baad phoot padney walay tashadud ke silsila mein darj aik muqadma mein Jaria saal 28th August ko mazkoorah paanch Jehadkaron ko girftar karte huwe un par wazeer e Azam Narendra Modi ke qatal ki saazish karne ka ilzaam aayed kiya tha. Dosray din 29th August ko Adalat e Uzma ne un Jehadkaron ki giraftari par yeh kehte huwe aiteraaz kiya tha ke ikhtelaaf raye, jamhoriat ka Safety Valve hai aur un ko ghar par nazarband rakhnay ki hidaayat di thi jis par un Jehadkaron ko jail se un ke ghar muntaqil kardiya gaya tha.