Monday, May 6, 2024
HomeHyderabadValentine day gift,noujawanoun ko cyber daketi se mehfooz rehne ka mashwara

Valentine day gift,noujawanoun ko cyber daketi se mehfooz rehne ka mashwara

Hyderabad: Yom-e-aashiqan mein ab jabkay chand din baqi hain aur 14 feb ko noujawan valentine day mananay ke liye kamar basta kiye hue hain lekin is douran Telangana police ne nojawanoun ko intibah diya hai ke woh jaali aur farzi Ahaef kur bannah jo-ke cyber dhoka bazo aur badmashon ki janib se logon ko dhoka dahi ke zareya unke bank account mein moujood ruqumat ka safaya karte hain.

Valentine day ke mauqa par nojawanon mein moujood junun  ka faida uthane ke liye cyber dhoka baz un nojawanon ko lootney ke maqsad ke ek aur naye takhrib kaari ke sath aaye hain aur kayi links is waqt social media par gardish kar rahe hai.

valentine gift ke naam par link bhejnay ke baad dhokay baz nisf darjan se ziyada aasaan sawalaat ke jawabaat ke quiz mein hissa lainay ke liye link kholnay ko kehte hain.

Agar link haasil karne walay afraad jawabaat dete hain aur sawalaat ka sahih jawab dete hain to iske baad inhen koi paegham mileyga jis mein kaha jata hai ke unhon ne quiz mein ek brand mobile phone jeeta hai aur usay wusool karne ke liye inhen ek download karna hoga taakay woh inaam haasil karne ki karwai aur iski 1500 rupay fees ada karen.

Police hukkaam ne kaha hai ke app ko download karne ke baad raqam ki adaigi ke chand minute baad hi tamam raabtey khatam kardiye jatay hain aur phir koi jawab nahi diya jata hai. Is ke baad app ke zareya awam ke phone mein mehfooz ki gayi ahem maloomat samait tamam adaad wo shumaar tak cyber dhoka bazoo ki rasai hojati hai jahan se woh bank account ke alawa shakhsi tasaveer aur videos ka sarqa bhi kiya ja raha hai.

Chunkay cyber dhoka bazoo ki janib se mobile phone mein data ka ghalat istemaal karne ke khadshaat ziyada hain, lehaza police ne awam ko khaas tor par nojawanon ko mashwara diya hai ke woh kisi bhi link ko nah to whatsapp groups meinah social media ke kisi dosray platforms par is ki tafseelaat fraham karen.

Central crime station ke sab inspector G.Mallesh ne kaha ke dhoka dahi karne walay daaway karte hue yeh link mulk ki namoor companies ki Janib se fraham kardah hain police ne kaha hai ke woh awam se darkhwast karte hain ke woh namaloom afraad ki janib se fraham kardah links ya social media par forward ki jane wali links ko mukammal itminan ke baghair nah kholeen.