Thursday, April 25, 2024
HomeLatest NewsVajpayee ki zindagi par mabni kitaab ka wazeer-e-azam ke hathoun ijra

Vajpayee ki zindagi par mabni kitaab ka wazeer-e-azam ke hathoun ijra

New Delhi: Hindustan ke sabiq wazeer-e-azam Bharat ratan Atal Bihari Vajpayee aur Kashi hindu university ke baani pandit madan mohan ke yom-e-paidaiesh par aaj parliament house mein kharaaj aqeedat paish karne ka programme munaqid kiya gaya. Is mauqa par Wazeer-e-Azam Narinder modi ke alawa ahem afraad mein lok sabha ke speaker om birla, Rajyaa sabha mein moujood oppostion leader ghulam nabi azad aur congress ke leader adhir ranjan choudhri ke hamrah kayi leadron ne afaz kya.

Aqeedat ke is programme ke baad modi ne ek kitaab ki rasam ijra anjaam di aur kitaab ka unwan Atal bihari vajpayee un parliament. A common hai. Lok sabha secreatrait ki janib se shaya is kitaab mein vajpayee ki zindagi ke safar par roshni daali gayi hai. Is kitaab mein vajpayee ki taqareer bhi shaamil hain. Is ke alawa kitaab mein unki zindagi ki kuch nayaab tasaveer bhi mojood hain.

Hindustan ke teen martaba wazeer-e-azam rahay vajpayee sirf ek siyasi qaied hi nahi thay balkay woh ek shayar, sahafi aur mahir tarjuman thay. woh pehli martaba 1957 mein lok sabha intikhab mein kamyabi haasil karte hue parliment pohanche thay. Is ke alawa woh 10 martaba lok sabha aur do martaba Rajya sabha ke rukan bhi rahay. Is baat ka tazkara ahem hai ke pandit kashi hindu university ke baani thay aur woh Hindustan ke pehlay aur aakhri aisay shakhs thay jinhein mahanama ke aizaz se nawaza gaya.