Wednesday, May 14, 2025
HomeSliderUyghurs musalmanoun ke aaza nikaal kar China Coronavirus ka ilaaj karne laga:...

Uyghurs musalmanoun ke aaza nikaal kar China Coronavirus ka ilaaj karne laga: Report

Beijing: Duniya bhar mein Coronavirus ki waba mai izafah horaha hai, Jabkay China ne is mohlik marz par kafi had tak qaboo paliya hai. Taham ab Corona ke khilaaf China ki ye muhim zir e bahes aagai. China Media ki ek Report ke mutabiq hukoomat camp mein band Uyghurs musalmanoun ke aaza nikal kar Corona mutasireen ke mutasir ka ilaaj kar rahi hai.

Daily Star aur Balen Times akhbarat hain jo tehqiqaat sahaafat ke liye jaaane jatay hain. Un akhbarat mein mein shaya honay wali Reports ke mutabiq daawa kiya hai ke aisay bohat se waqeat huve hain jin mai Coronavirus virus se mutasirah afraad ki jaan bachanay ke liye kisi aazu ki zaroorat thi aur se aasani se dastyab kardiya gaya tha. Ye pehla mauqa nahi hai jab China par aisay ilzamaat lagaye gaye hon. Is se qabal September 2019 mein bhi aisi it-tila-aat mili then jin mein hirasati marakaz mein musalmanoun ke sath afsoosnaak bartav karte huve inhen aziyatien di gayeen thi.

Balen Times ke mutabiq China ne kuch din pehlay hi Coronavirus se mutasir shakhs ke 2 pehphdoun tabdeel karne ke liye operation kiya gaya tha. Ye operation ek 59 sala shakhs ki jaan bachanay ke liye kiya gaya tha ju Coronavirus ki wajah se bemaar tha. Taham corona ki wajah se mamool ke muqablay mein azaa ki talabb mein izafah ke bawajood sirf 5 denu mai ek mareez ke liye 2 phepdey ka intizam hogaya. Aisi sorat e haal mein ye saaray shukook o shubhat phir peda hogaye hain, Ye aaza kaha se aeye hain?.

Mutadid qaumi aur duniya bhar ke akhbarat mein safha awwal par ek Coronavirus ka shikaar mareez ka China mein pehli martaba Double Pehphdoun ka Transplant kamyaab “ ki sheh surkhiyoun ke sath Reports bhi shaya huvi thi. Is mareez ko jis ne 24 Feb ke baad pehphdoun mein takleef ki shikayat mehsoos ki thi. Is ke ilaaj ke na sirf aaza ka atiyah dainay wala mil gaya. Balkay 5 dinoun mein Double pehphdoun ka Transplant kamyaab hogaya. CJ Werleman apni Report mein tehreer kiya hai ke duniya pehlay hi is haqeeqat se pareshan hai ke taqreeban 3 million Uyghurs musalman China mein nazar-band campoun mein muqeem hain. Cheeni insani haqooq ke kaarkunoun ne bhi shuba zaher kiya hai ke China mein pehphdoun ke liye kayi saal se waiting list rehti hai lekin corona ke muamlay mein ye sirf chand hi dinoun mein aaza muhayya karra hi hai, Wo bhi mareez ki munasibat ke sath aaza mel rahay hain. China un mumalik mein shaamil hai jahan aaza atiyah karne sharah bohat kam hai. Taham corona ke muamlay mein ab tak aisi khabrain samnay aa chuki hain. Jis mein 10 hazaar afraad aasani se aaza hasel kar chukay hain.

Feb ki 29 tareekh ko China mein chal rahay aaza ke  kalay kaarobar par bhi ek bain ul aqwami Report samnay aayi hai. Is Report mein ye daawa bhi kiya gaya hai ke Camp mein band Uyghurs musalmanoun ke Dil, Gurday, Jigar, Pehphdoun, Aankhon aur Jild ko bhi hatakar Black Markt mein farokht kiya ja raha hai. Uyghurs ke maahir taleem aur samaji jehedkar Ayub Abduwali ne bhi maazi mein ye daawa kiya tha ke herasti markaz mein ghair insani juraim kiye jarahay hain. Corona ki wajah se herasti marakaz mein badi tadaad mein operation ho rahay hain aur zabardasti aaza ku nikala ja raha hai. Mutadid bain ul aqwami Agencies ne China par ye ilzaam aed kiya hai ke hukoomat musalmanoun ko nahi duwaein aur deegar tibbi maaynoun ke liye bhi istemaal kar rahi hai. Taham cheeni hukoomat un herasti campus ko dehshat gardi aur alehadgi pasandi ke khilaaf jung qarar day rahi hai. –YTN STAFF