Thursday, May 9, 2024
HomeTrending NewsUyghurs Musalamanoun par mazalim ke khilaaf Americi congress mein Billl manzoor

Uyghurs Musalamanoun par mazalim ke khilaaf Americi congress mein Billl manzoor

New York: Americi Congress ne ek qanooni Billl manzoor kiya hai. Ye qanoon un cheeni zimmay daraan par pabandiyan ayed karta hai jin par Xinjiang soobay mein Uyghurs musalman aqliat ke khilaaf haqooq ki pamalioun ka ilzaam hai. Billl khushoos un ijtimai giraftarioun ke sabab jo is Muslim aqliat ke afraad ke khilaaf amal mein ayen.

Awaan numaindgaan mein insani huqooq ka qanoon baraye Uyghurs ke Bill ke haq mein 413 vote aur mukhalifat mein sirf ek vote aaya. Is se qabal Americi senate rawan mah ke wast mein mutafiqa tor par is Bill ko manzoor kar chuki hai. Ye Bill ab dastakhat ke liye sadar Donald Trump ke samnay pesh kiya jayega. Is ke baad wo nafiz al amal ho jayega. Ghalib gumaan hai ke is iqdaam se duniya ki 2 sab se badi taqatoun ke darmiyan taluqaat ki kasheedgi mein mazeed shiddat aa jayegi.

Trump ney ye kehnay par ektafa kiya ke hum is muamlay ko qareeb se dekh rahay hain. Is terhan qanooni Bill ke baad Americi sadar ke aindah iqdaam ke hawalay se ibham mein izafah hogaya. Americi sadar ki janib se qanooni Bill par dastakhat se inkaar kar dainay ki soorat mein wo apna Vito ka hak istemaal karte huve usay dobarah se Congress bhaij denge. Wahan is qanooni Bill par phir se raye shumari ki ja sakti hai. Raye shumari mein 2 tahai arkaan ki aksariyat ki himayat haasil honay par sadaarti Vito khatam ho jayega. Trump ki janib se is qanoon ki manzoori ki soorat mein China ka gazabb aasmaanoun ko chulega. Yaad rahay ke China ne guzashta baras Decemeber mein dhamki di thi ke agar is qanoon ne janam liya to America ko is ki qeemat chukani hogi. –YTN STAFF