Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaUttarkhand mein Railway stationoun ke naam Urdu ki jagah ab Sanskrit mein...

Uttarkhand mein Railway stationoun ke naam Urdu ki jagah ab Sanskrit mein likhay jayen ge

Uttarkhand: Uttarkhand mein, Urdu mein likhay gaye Railway stationoun ke naam ko jald hi Urdu se Sanskrit mein tabdeel kar diye jayen ge, Jo pahadi riyasat ki doosri sarkari zabaan hai. Shumali Railway ke chief taluqaat aama ke afsar Deepak Kumar ne kaha ke Sanskrit ko Urdu se badalne ka iqdaam Railway ke dastoor amal ki daf-aat ke tehat hai, Jis mein kaha gaya hai ke Platform Sign Board par Railway Station ka naam mutaliqa riyasat ki doosri sarkari zabaan mein likha jana chahiye.

Unhoun ne kaha ke ”Platform Sign Board par Uttarkhand ke Railway stationoun ke naam Urdu mein tehreer hain, Kyunkay un mein se beshter Railway stations is waqt ke they, Jab ye riyasat, Uttar Pradesh ka hissa thi, Jahan Urdu doosri sarkari zabaan hai. Taham. Railway ke qawaid ke mutabiq, 2010 mein Sanskrit ko riyasat ki doosri zabaan bananay ke baad, Un Sign board mein munasib tarmeem karni chahiye thi.

Senior divisional Commercial manager Reekha Sharma ne kaha ”hamin haal hi mein bataya gaya tha ke Sanskrit Uttarkhand ki doosri sarkari zabaan hai. Lehza, Railway stationoun ke naam Sanskrit mein bhi honay chahiye. Taham, Ye janna hamaray liye ek challenge hai ke shehroun ke naam Sanskrit mein kaisay likhay jayen ge.

Taham, Sanskrit ke ek muqami ustaad ne bataya ke Hindi aur Sanskrit mein Railway stationoun ke naam aakhir mein ek ahem awaz “Ke ilawa ziyada tar ek jaisay hon ge. Sanskrit Uttarkhand ki doosri sarkari zabaan 2010 mein is waqt ke wazeer aala Ramesh Pokhriyal ke daur mein banai gayi. –YTN STAFF