Sunday, May 12, 2024
HomeExclusiveUttar Pradesh mein shehri huqooq ki khilaaf warzi aur Law and Order...

Uttar Pradesh mein shehri huqooq ki khilaaf warzi aur Law and Order system ka ghalat istemaal

Online mushtarqa Press conference ke zareya munaqidah press mulaqaat mein jari mushtarqa bayan

New Dehli/ Lacknow: Ayeen mukhalif o imtiazi shehriat ( tarmeemi qanoon ), ( CAA ) ke Pass kiye jaany ke bad se markazi hukoomat aur BJP ki hukmarani wali reyastoun neh mulk bhar mein huve jamhoori ahtejaj ke sath bar bariat ka rawayya apnaya hai. Is neh un tamam ikhlaqiaat ki dhajiyan uda di hain, Jin par ye mulk qaim huwa hai. Uttar Pradesh ke wazeer aala Yogi Adityanath neh is muamlay ko firqa waranah rang diya aur police aur dayen baazu ke ghundoun ko khuli chhuut aur maffi day di ke wo golian chelain, Amlaak ko tabah karen aur mukhalifat pur aman ahtijaj ke loguon ke jamhoori haq ke istemaal par inhen zadokob Karen.

Ab lockdown ke halaat ka ghalat istemaal riyasat ke tamam mukhalifen se intiqam lainay ke liye kiya ja raha hai. Police aeye din huqooq insani ke karkunaan, Siyasi leaders, Talba aur be-gunah awam ko dara dhamka rahi hai aur inhen harasan o pareshan kar rahi hai. Inhen farzi muqadmaat mein phansa kar un par zalimana qawaneen thupe ja rahay hain. Khair adalati qatal, Ghairqanooni giraftaryoun aur be qosoroun ko harasan karne ke waqeat khatarnaak had taq badh rahay hain.

Zurori hai ke Kanpur aur UP ke deegar hissoun mein hue kuch mujrimoun ke khair adalati qatal par Supreme Court ki nigrani mein adalti jaanch karai jaye.

UP police samaji karkunaan ko dangayi aur fasadi ka naam day kar un ki dhar pakad kar rahi hai. Police ke zulm o zayad-ti ko qanooni javaaz faraham karne ke liye logoun ki haqeeqi awazoun ko mulk mukhalif qarar diya ja raha hai. Haal hi mein hakoomati muzalim ke khilaaf aawaz uthany walay Aligarh muslim university ( AMU ) ke taalib ilm karkun Sharjil Osmani ko farzi muqadmaat mein giraftar kiya gaya. Popular Front ki reyasti India ke committee ke mumbar mufti Mohammad Shahzad ko is liye giraftar kiya gaya kyunkay unhoun ney high court mein ek mafaad aama ki arzi dair ki thi. Is mein ye darkhwast ki gayi thi ke Uttar Pradesh mein ۹۱/ Decemeber ۹۱۰۲ ko aur is ke baad CAA / NRC mukhalif muzahiroun ke douran police ke tashadud par Supreme Court ya high court ke kisi mojooda ya sabiq judge ki qayadat mein ghair janebdaranah adalti tafteesh karai jaye. Dr Kafeel ki giraftari intiqami siyasat ka khula saboot hai, Jis ke tehat BJP hukoomat un ki zindagi ko tabah o barbad karne ke liye har waseela ikhtiyar kar rahi hai. Aisay mutadid karkunaan ko farzi muqadmaat mein qaid mein dala aur inhen musalsal harasan kiya ja raha hai. Un karkunaan ke khilaaf ( insidaad ) khair qanoni sargarmia Act ( UPA ) aur qaumi salamti Act ( NSA) jaisay kalay qawaneen istemaal kiye ja rahay hain

Setam zarifi ye hai ke un karkunaan ke khilaaf Uttar Pradesh ( insidaad ) Gangster o samaaj mukhalif sargarmia Act, Mukhtsiran, Gangster Act ) aur UP insidaad ghunda Act, ( Mukhtsiran, Ghunda Act ) jaisay qanoon istemaal kiye jatay hain, Jinhoun ney mulk mein jeeney ke apne haq ke liye jamhoori tareeqay se ladai ladi, Jabkay asal ghonde, Gangster aur samaaj mukhalif anasir riyasat bhar mein azad ghoom rahay hain aur inhen aam maffi haasil hai. Is ke ilawa un samaji karkunaan par ek ke baad ek farzi muqadmay lagaye ja rahay hain, Jo pehlay se hi qaid mein hain ya jo zamanat par reha hujuke hai.

UP intizamia ne ab CAA mukhalif muzahiroun ke douran hue mobayyana toad phod ka harjana wusool karne ke bahanay logoun ki amlaak qurq karne ki ek aur nai zalimana karwai shuru kar di hai. Kisi par bhi fasadaat mein shaamil honay ka ilzaam laga kar muqadma chalaya ja sakta hai aur is ki amlaak ko qurq kiya ja sakta hai. Ye logoun ko jails mein daal kar na sirf un ki zindagi barbaad karne balkay un ki amlaak se inhen be dakhal karkay un ke mustaqbil ko hamesha ke liye tabah karne ki ek nai hikmat e amli hai. Reyasti hukoomat aisi ghair jamhori o pur-tashaddud karwayyoun ke zareya riyasat mein har qisam ki mukhalifat ko naist o nabood kar dena chahti hai. Mazeed bad qismati ki baat ye hai ke riyasat ki sarkardah opposition partiyan in muddoun par khamosh hain aur is terhan wo reyasti hukoomat ko un karwayaoun ko anjaam dainay ka khula rasta day rahi hain.

Ye mushtarqa press mulaqaat ‫UP  hukoomat ke un aamranah iqdamaat ki sakht muzammat karti hai. Hum samajte hain ke firqa waranah siyasat ko mustard karne wali tamam siyasi jamaatoun ko chahiye ke wo agay ayen aur Uttar Pradesh mein huqooq insani ki un pamalyoun ke khilaaf apna ehtijaj darj karayen. Sath hi aaeni eqdaar par yaqeen rakhnay walay mulk ke har shehri aur shehri samaaj ko pur aman tareeqay se is ke khilaaf qadam uthana chahiye. Hamara ye bhi maanna hai ke Uttar Pradesh mein reyasti jabar ke mutasireen ko har qisam ki qanooni o jamhoori madad faraham karna mulk ki jamhoori taqatoun ka fareeza hai.

Conference mein: Ravi Nair, SAHRDC, Delhi Abadullah Khan Azmi, Sabiq MP, Uttar Pradesh, Seema Azad, Editor, Dastak, Allahabad, Advocate Sharifuddin Ahmed, Qaumi naib sadar, SDPI Advocate KK Rai, Allahabad high Court. EM Abdul Rahman, Naib Chairman, Popular Front of India. Rajiv Yadav, General Secretary, Rahaie Manch, Uttar Pradesh. Advocate A Mohammad Yousuf , Qaumi secretary, NCHRO. Shareek rahay.