Monday, May 20, 2024
HomeIndiaUttar Pradesh mein Muslim Taxi Driver ki Lynching qabil muzammat. SDPI

Uttar Pradesh mein Muslim Taxi Driver ki Lynching qabil muzammat. SDPI

New Delhi: Social Democratic Party Of India ( SDPI ) ke qaumi General Secretary Mohammad Shafi nay apne jari kardah akhbaari aalamia mein Uttar Pradesh Noida mein ek Musalman Taxi Driver ki lynching ki sakht muzammat ki hai. Wazeh rahay ke 6 September 2020 ko Delhi se wabasta Taxi Driver Aftab Alam ko sawari ban kar Uttar Pradesh mein pait pait kar qatal karne ki waardaat injaam di gayi hai aur qatal karne se pehlay Aftab Alam ko Jai Shri Ram ka naara laganay aur sharaab peenay par dabao dala gaya hai aur Jai Shri Ram ka naara laganay se inkaar karne par un ka qatal kardiya gaya.

SDPI qaumi general secretary Mohammad Shafi ne apne bayan mein mazeed kaha hai ke mutasirah ke betay ne bayan diya hai ke unhoun ne un ke waalid ke aakhri phone call ko Record kiya tha. Jis mein qaatil Taxi Driver Aftab Alam se Jai Shri Ram ke naaray laganay ko kehte hue sunay jasakte hain. SDPI qaumi general secretary ne RSS ke is daaway ki tazheek ki ke Lynching’ hindustani riwayaat ke liye ajnabi hai’ kyunkay un ke iqtidaar mein anay ke baad se hi mulk mein is terhan ki silsila waar Lynching ke waqeat ho rahay hain.

Mohammad Shafi nay is baat ki taraf khusoosi nishandahi karte hue kaha hai ke Lynching ke haliya rujhan ko 1992 mein Ayodhya ke silsilay mein Rath Yatra ke sath shuru honay walay Hinduization ke majmoi siyasi mansoobay ko allag nahi kiya jana chahye. San 2002 mein Gujrat nasal kashi nayHindu Script ki mukammal pairwi ki thi. Yeh Musalmanoon ko dehshat zada karne aur aam logon mein khoof peda karne ka ek zareya hai.

Opposition partiyon ko itna kamzor kardiya gaya hai ke woh is dehshat gardi ka muqaabla nahi kar saktay hain aur is terhan ke qaatil garohoon ko bhaganay ke liye aam loog apna apna tareeqakar tayyar karne par majaboor hain. SDPI qaumi general secretary Mohammad Shafi ne Uttar Pradesh Police se mutalba kiya hai woh qatilon aur un ko thankhowa dainay walon ko bar waqat pakden aur mutasirah afraad ke ahal khanah ko muawza ada karen.