Tuesday, May 21, 2024
HomeLatest NewsUttar Pradesh mein kaarkunon par police harasani, SDPI ne ki Election Commission...

Uttar Pradesh mein kaarkunon par police harasani, SDPI ne ki Election Commission se shikayat

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) nay Uttar Pradesh mein party kaarkunon ki police ki taraf se harasani kiye jaanay ke muamlay mein Election Commission of India se shikayat darj ki hai aur commission se darkhwast ki hai ke woh Uttar Pradesh police ko apni harasani band karne ki hidayat day. Social Democratic Party of India election commission ke zareya tasleem shuda ek seculer, Jamhoori siyasi party hai.

Uttar Pradesh hukoomat apni police force ka istemaal karte hue kaarkunon aur party ko dehshat zada aur badnaam karne ki koshish kar rahi hai, Kyunkay party Yogi hukoomat ki ghair jamhoori aur mutassbana karwaiyon ke khilaaf aawaz athati aa rahi hai. Police SDPI ke dafatir mein ghos jati hai, Dastawizaat aur office Stationery ghair qanooni tor par le jati hai. Police apni mann maani se baar baar party leaderon aur kaarkunon ku tehweel mein layte hai. SDPI ke kaarkunon ko harasan karne ke police ki karwai ka maqsad party ke baaray mein aam logon mein khauf ka ehsas pi .Party kaarkunon ko jinhein hirasat mein liya jata hai baad mein reha kardiya jata hai. Is amal ko baar baar dohraya jata hai. Yahan taq ke un malikaan ko bhi dhamkian di jati hai jinhon ney SDPI ke dafatir ke liye apna makaan dukaan kiraya par day rakha hai, Taakay party ki sar garmion ko roka jasakay.

 

Is zimn mein SDPI ke qaumi secretary Dr Tasleem Ahmed Rahmani ney deputy election commissionaire ko shikayat pesh karte hue inhen SDPI ke sar garmion se aagah kiya, Party poooray mulk mein pasmandah aur mahroom tabqaat ke darmain maqbool horahee hai aur taizi se badh rahi hai. Aisay mein markazi mein aur Uttar pradesh mein mojood fashst hakoomaten party ki nasho numa ko apne liye khatrah samajh rahi hain aur isi wajah se woh party ko dabana chahtay hain. Is ke liye woh police ka istemaal karte hain. SDPI ke qaumi secretary Dr Tasleem Ahmed Rahmani ney deputy election commissionaire se darkhwast ki hai ke Uttar Pradesh police ko SDPI ke khilaaf jamhoriat mukhalif aur ghair qanooni sar garmion mein mulawis honay se roka jaye aur party ke kaam karne ke jamhoori haqooq ke tahaffuz ko yakeeni banayen.