lucknow : Uttar pradesh police neh riyasat bhar ki sadakhoun par jummay ki Namaz ki paish kash par pabandi aed karne ka faisla kiya hai. director general police neh kaha, khaas mawaqay par, jab bohat bada hujhoom tehwaron par namaz padhney ke liye jama hota hai, to zilai intezamia ki janib se is ki ijazat di ja sakti hai, lekin har jummay ki namaz ke douran is mamool ki tarhan ijazat nahi di jayegi.
Tamam zilai police sarbrahan aur deegar hukkaam ko hidaayat jari kardi gayi hai ke woh is baat ko yaqeeni banayen ke sadakhoun ko rokkk kar kisi ko namaz ki ijazat nah di jaye. DGP neh kaha ke ibtedayi tor par Aligarh aur meerut mein bhi aisi hi pabandi aed kardi gayi theen, aur ab riyasat bhar mein is ko nafiz karne ki koshsihen jari hain.
Hindu tanzeemoun neh sadakhoun par namaz padhney ke amal ke khilaaf intiqami karwai karte hue mangal aur hafta ko mutadid azlaa ki sadakhoun par Hanuman Chalisa ka path karna shuru kar diya tha, jo aahista aahista do firqoun ke mabain tassadum ki raah hamwar kar raha tha.
DGP neh bataya ke zilai ohdedaron se kaha gaya hai ke woh ulama aur masjid intizamia se mulaqatian karen, taakay inhen is baat ka ehsas dilayen ke sadakhoun par namaz se traffic ke masail paeda hotay hain aur pareshani paeda hoti hai. unhon neh mazeed kaha ”agar traffic mein rukawat paeda ho ti hai to ya doosroun ko takleef hoti hai to dosray mazhabi jamaaton ko bhi sadakhoun par mazhabi ijitmaat munaqqid karne ki ijazat nahi hogi.
Darein asna, Maroof suni aalim-e-deen aur all India muslim personal law board ( AIMPLB) ke rukan Moulana Khalid rasheed firangi ne kaha ”sirf chand masajid aisi hain jahan musalman ahatay ke bahar namaz padh rahay hain.
Unhon neh kaha ke maazi mein bhi, hum neh musalmanoun se appeal ki thi ke woh rasta rok kar namaz ada na karen kyunkay is se dosray logoun ko takleef hoti hai. aisi misalein bhi millti hain, jab log masjid ki chhath par namaz ada karte they. hum neh logon ko doosri msajd mein janay ki tajweez di hai. –YTN STAFF