Sunday, May 11, 2025
HomeIndiaUttar Pradesh BJP muhajireen ke liye Registration muhim shuru keregi

Uttar Pradesh BJP muhajireen ke liye Registration muhim shuru keregi

Lacknow: Uttar Pradesh mein BJP jumaraat se hindustani shehriat ke khwahan muhajreen ke liye Registration muhim shuru keregi. Aur parti shehriat tarmeemi act ( CAA ) ke baray mein phailai jaanay wali ghalat maloomat ko daur karne ke liye jumaraat se ek mah tak jari rehne wali muhim ka bhi aaghaz keregi.

UP BJP ke sadar Swatantra Dev Singh ne kaha ke oppostion shehriat tarmeemi qanoon ke baray mein muhim chala rahi hai aur un anasir ne is muamlay par riyasat mein haliya tashadud ko janam diya hai. unhoun ne kaha ”Loogu ko CAA ke haqayeq se aagah karne ke liye hamari ye muhim 26 decemeber se 25 January tak riyasat bhar mein chalaye jayegi. Party karkun dehi androoni logoun tak pohnchain ge aur ghalat fehmiyoun ko daur karen ge.

Singh ne kaha ke hum un panah guzinoun ko bhi Register karen ge, Jo hindustani shehriat ke muntazir hin“. Unhoun ne kaha ke party musalmanoun tak bhi puhanche gi aur inhen yaqeen dehani karaye gi ke wo CAA se mutasir nahi honge. BJP ne pehlay hi apne member of parliament se kaha hai ke wo wahan muqeem padosi mumulk ke muhajreen ki shanakht karen aur un se rabita karen aur inhen naye shehriat tarmeemi qanoon 2019 ke tehat shehriat haasil karne mein madad karen.

mazkorh muhim ka maqsad CAA par oppostion jamaatoun ke zareya chalaye jaanay wali muhim ko radd karne ka hai, Jis ke nateejay mein mulk bhar mein talba ke muzahere badh rahay hain. Zaraye ke mutabiq, BJP ne shehriat tarmeemi  Act, 2019 par bhi ek white Paper tayyar kiya hai. Jis mein maghribi Bengal, Assam aur kayi barsoun ke douran mukhtalif siyasi jamaatoun ke mogaf par khusoosi zor diya gaya hai.

Is paper ko wasee pemanay par takseem kiya jaye ga aur is pegam ko ziyada mo-asar andaaz mein pohanchanay ke liye ilaqai zabanoun mein is ka tarjuma kiya ja raha hai. Is mein Javaharlal Nehru, Liaquat Ali muahiday par ek baab mojood hai, Jis mein 1950 mein dastakhat hove they aur Pakistan ne wahan rehne walay aqlitoun ke haqooq ka tahaffuz karte hue is muahiday ku kaise nakaam bana diya tha.

Idhar, Jamia Millia Islamia, Aligarh Muslim University aur Lacknow mein  Nadwa University ke ehtejaj ke baad pur tashadud hogay, Is muamlay ne BJP ko polarise karne ka mauqa faraham kiya hai. –YTN STAFF