Monday, May 6, 2024
HomeIndiaUttar Pradesh BJP mein baghaawat, Senkdon arkaan ka Assembly mein dharna

Uttar Pradesh BJP mein baghaawat, Senkdon arkaan ka Assembly mein dharna

Lacknow: Uttar Pradesh mein BJP ko sakht mushkilaat ka saamna hai aur senkdon arkaan Assembly ne apni hi hukoomat aur chief minister Yogi Adtihnath ke khilaaf mahaaz khol diya hai. Itna hi nahi it-tila-aat ke mutabiq takreeban 150 arkaan ne Assembly mein dharna bhi diya hai, Jin mein oppostion ke arkaan Assembly ne bhi shirkat ki. Taaza it-tila-aat ke mutabiq naib chief Minister Dinesh Sharma arkaan Assembly ko mananay ki koshish mein masroof hain aur Assembly mein Vidhya Ekta ( MLA Yakjahti ) zindah baad jaisay naaray goonj rahay hain.

Darasal, Ghaziabad se talluq rakhnay walay BJP ke rukan Assembly Nand Kishore Gujjar ewaan mein takreer kar rahay they lekin inhen bolnay ki ijazat nahi di gayi. Nand kishore ka ilzaam hai ke inhen Ghaziabad police ne tashadud ka nishana banaya hai. Wo is baray mein Assembly mein apna muaqqaf rakhna chahtay they lekin inhen ewaan ke andar bolnay ki ijazat nahi di gayi. Is par Nand Kishore naraaz ho gaye aur Assembly ke andar dharnay par baith gaye. Is douran inhen deegar MLA ki bhi himayat haasil ho gayi. Darin asna , Hangame ke baad ewaan ki karwai ko 45 minute ke liye multawi kar diya gaya.

SP MLC  Anand Bhadauria ne kaha ke kal tak Assembly multawi honay ke baad bhi, BJP ke 100 se ziyada MLA apni hi hukoomat mein nazar andaz honay ki wajah se ewaan mein dharnay par baithy they. Unhoun ne kaha ke is waqt oppostion sameit 200 se ziyada MLA hukoomat ki aamriyat ke khilaaf dharnay par baithy hain, Yani hukoomat aqliat mein hai. Umeed hai ke waqt se pehlay hi awam ko badkaaroun se nijaat dila di jayegi.

Oppostion leader Ram Govind Chaudhary ne kaha hai ke un ki party ke membraan Assembly ek rukan Assembly ke aizaz aur himayat mein baithy hain, Wo jab tak ewaan mein rahen ge hamaray membar Assembly bhi unke sath rahen ge. Isi douran BJP ke arakeen Assembly ki dastakhat muhim shuru karne ki khabar hai, Ewaan ke andar kuch saada kaaghzoun par arkaan Assembly ko himayat ke khat par dastakhat karte hue dekha gaya hai. Dastakhat kis liye karwaye gaye hain is ke baray mein koi maloomat nahi hai.

BJP ke 10 ta 12 arkaan Assembly ne khud media gallery mein aakar is baat ki tasdeeq ki hai, Lekin ye bhi kaha hai ke jis kaghaz par dastakhat karwaye ja rahay hain is par koi mauzo nahi likha gaya hai. –YTN STAFF