Saturday, May 18, 2024
HomeJurmUttar pardesh Qabrastan saneha, thaikeydaar aur ohdedaron ke khilaaf FIR darj

Uttar pardesh Qabrastan saneha, thaikeydaar aur ohdedaron ke khilaaf FIR darj

Ghaziabad: Uttar pardesh shamshaan ghaat mein chhat munhadim honay se mutadid afraad ki mout ke baad hukkaam aur contractor ke khilaaf muqadma darj karliya gaya hai jaisa ke itwaar ke roz ek janazay mein shirkat ke baad shaded barish ke douran log wahin us chat ke neeche ruke the jo hadesa ka shikar hogaye.

yeh waqea subah is waqt paish aaya jab ek phal farosh ki aakhri rasomaat ke liye aaye hue 50 ke qareeb afraad ne apne aap ko bhigne se bachanay ke liye haal hi mein taamer shuda raahdaari ki chat ke neechay panah li taham chand minutes baad is dhanche ki chat gir gayi.

National Disaster response  force (NDRF) ghaziabad ke police suprintendent abhishek verma ne kaha hai ke 20 zakhmion mein se 8 ki haalat tashweesh-naak hai aur mukhtalif dawakhono mein zair e ilaaj hain. verma ne mazeed kaha hai ke raahdaari taqreeban 25 foot lambi thi aur aisa lagta hai ke yeh taiz barish ki wajah se munhadim hogayi hai. Ohdedaron ne media numainda ko bataya ke police ne radnagaram ki municiple coopration ke thekedaar ohdedaron ke khilaaf FIR darj karwayi gayi hai.

FIR thekedaar jaye Tygi, engineers niharika Singh, junior engineer chndrapaul, supervisor Asheesh aur is coopration ke ek namaloom ohdedar ke khilaaf dafaa 304, 337, Zindgi ko khatre mein daalnay ki wajah), 338 (doosron ki zindagi ya zaati hifazat ko khatray mein daalnay se kaam karna), 409 (behsiyat mulazim awaami bharosa ko todnay ki mujremana khilaaf warzi) aur 427 ke tehat shikayaat darj ki gayi hai.

Uttar pardesh ke chief minister yogi aadtih nath ki hidaayat ke baad Mirth divisional commissionaire aur inspector general police ki nigrani mein muamlay ki tehqiqaat jari hain. Ghaziabad municiple coopration (GMC) aur ghaziabad development authority (GDA) ke ohdedar bhi unki madad kar rahay hain. Muradnagar ke MLA Ajeet tyagi ne kaha ke yeh sirf do mah qabal mukammal hua tha. Unhon ne kaha ke Qabrastan mein intezaar ka hissa sirf 2 mah qabal banaya gaya tha. Tameeraat mein istemaal honay walay mawaad ​​ke miyaar per ek bohat bada sawal hai kyunkay ek hi barish ne saaray dhanchay ko khatam kardiya. unhon ne kaha ke ghalti ke murtakib afraad ko bakhsha nahi jayega.

Mauqa par mojood muqami logon ne taamer mein istemaal honay walay mawaad ​​par bhi tashweesh ka izhaar kiya. unhon ne kaha hai ke malbay se zahir hua hai ke taamer mein bohat kam cement istemaal hua tha. reyasti hukoomat ne is waqeye mein marnay walay afraad ke lawahiqeen ko 2 laakh rupay aur zakhmi honay walay afraad ko 50000 rupay ki raqam dainay ka elaan kiya hai.