Monday, April 21, 2025
HomeIndiaUrmila Matondkar ne congress se diya istifa, Sonia gandhi ne Maharashtra ke...

Urmila Matondkar ne congress se diya istifa, Sonia gandhi ne Maharashtra ke party chief se ki baat cheet

Mumbai : Adakara se siyasatdan bani Urmila Matondkar ne congress se istifa day diya hai. Urmila Matondkar lok sabha intikhabaat ke waqt congress mein shamoliat ikhtiyar ki theen, aur unhon ne shumali Mumbai ki lok sabha nishist se intikhab lada tha. magar inhen shikast ka saamna karna pada. Urmila ne party ke andar jari chowthee siyasat ko congress chodney ki wajah qarar diya hai.

Urmila rawan saal 27 March ko congress mein shamoliat ikhtiyar ki thi. Urmila ka istifa congress ke liye nuqsaan da hai, kyunkay aglay mah Maharashtra mein assembly intikhabaat munaqida hone walay hain, aur iske-paish-e-nazar congress is waqt apne qaideen ko muttahid rakhnay ke liye jaddo jehed kar rahi hai.

Urmila Matondkar ne apne bayan mein kaha ke ”Mumbai congress ke aala ohdedar party ko mazboot nahi karna chahtay ya woh aisa karne se qassar hain. Urmila ne apne congress chodney ki aur bhi kayi wujohaat bataaye hain.

Urmila Matondkar aur Maharashtra ke sabiq wazeer-e-dakhla Shankar singh ke party se istifa dainay ke ek din baad, congress ki uboori sadar Sonia gandhi ne Maharashtra ke reyasti unit ke sarbarah Gaikwad  se ek meeting ki.

Gaikwad  Sonia gandhi ki rehaish gaah par pohanche aur chaharshambe ko unse ek ghantay tak baat cheet ki.

Unhon ne kaha ke UPA ki chair person ne riyasat mein honay walay assembly intikhabaat se qabal party ke bohat saaray mustahiq rehnumao se mutaliq tabadlah khayaal kiya.

Mangal ke roz Urmila, ne Mumbai ki qiyadat par ”Ghadari“ ka ilzaam lagaya tha. aur Kripa  Shankar singh ne jammu wo Kashmir ke article 370 se mutaliq congress ke rukh par apne ikhtilafat ka izhaar kiya hai.

Mangal ko NCP ke sarbarah sharad pawar ne Dehli mein Sonia gandhi se mulaqaat ki. congress aur NCP riyasat Maharashtra mein Iqtidaar par wapsi ke khwaahan hain. –YTN STAFF