Entrance ke zareya B.Tech, MBA, B.Ed aur Political Technical mein dakhelay ka mauqa
Hyderabad: Maulana Azad National Urdu University ne taleemi saal 2020-21 ke liye markazi campus Hyderabad aur deegar Satellite Campus Lukhnow o Srinagar ke ilawa mukhtalif reyastoun mein mojood Collages of Teacher Education ( CTS ) aur Polytechnic ke liye Regular courses mein online dakhelay jari hain . Entrance ki asaas par dakhelay ke Course darkhwast daakhil karne ki aakhri tareekh mein 20 June tak towsee ki gayi hai jabkay Merritt ki bunyaad par dakheloun ki aakhri tareekh 10 August hai. Professor M. Vanaja, Director nizamat dakhla ke bamujab darkhwast guzaroun aur Oliyaye talba ki numaindagi par ye towsee ki gayi hai.
Entrance test Schedule ke mutabiq 4 aur 5 July ko hi munaqqid honge. Urdu Medium mein aala taleem faraham karne wali mulk ki ye wahid jamia hai. University mein guzashta saal Head Quarter mein Bachelor of Vocational Course ke tehat Medical Imaging Technology aur Medical Laboratory Technology ke 2 naye Courses muta-arif kiye gaye they jin mein dakhla Merritt ki bunyaad par diya ja raha hai.
Entrance ke zareya dakhela diye jany walay Course mein P.hd Urdu, Angrezi, Hindi, Arabi, Farsi, Mutalaat tarjuma؛ Mutalaat Neswan, Nazam o Nasq Aama, Seyasiyat, Social Work, Islamic Studies, Tareekh, Muashiaat, Samijiyat, Taleem, Sahaafat o Tarseel Aama Management, Commerce, Reyazi, Tabeeyat, Chemiya, Nabatiyaat, Haivaniyat, Computer Science, SEIP shaamil hain. Un ke ilawa deegar Entrance ki asaas ke Course mein Post Graduate programs mein MBA, MCA, M.Tech ( Computer Science ) aur M.Ed, Under graduate Programs ( B.Ed aur B.Tech ( Computer Science ) aur pesha warana diploma in Elementary Education ( DLEd) o neez Polytechnics Course Civil Engineering, Computer Science Engineering, Electronic and Communication Engineering aur Information Technology, Mechanical, Electrical o Electronics Engineering shaamil hain. Tamam Courses ka zareya taleem aur imthehaan sirf Urdu hai.
Professor M. Vanaja, ke mutabiq post graduate programme ( Urdu, Angrezi, Hindi, Arabi, Mutalaat tarjuma, Farsi, Mutalaat Neswan, Nazam o Nasq Aama, Seyasiyat, Social work, Islamic Studies, Tareekh, Muashiaat, Samajiyaat, Sahaafat o tarseel Aama, M.com aur MSC, Reyazi ) under graduate Programs mein BA, BA ( Hons ) JMC, B.Com, BSC ( Reyazi, Tabeeyat, Chemiya. MPC ), BSC ( Reyazi, Tabeeyat, Computer Science, MPCS ) aur BSC ( Hayati uloom – zid BC ), Bachelor of vocational Course ke tehat medical in Elementary Technology ( MIT ) aur medical laboratory Technology ( MLT) Madaris ke farigh talba ke liye baraye dakhla under graduate ( B.Com / BSC ) aur Polytechnic Programs ke liye burj ( Rabita ) Course shaamil hain. Ilawa azeen Lateral Entry ke tehat B.Tech aur Polytechnic mein ahal talba ko raast dakhelay diye jayenge. PG Diploma in Retail Managment aur joz waqti Diploma Programs mein Urdu, Hindi, Arabi, Farsi aur Islamic Studies, Tehseen ghazal o urdu mein Certificate course bhi dastyab hain.
Lukhnow Campus mein Urdu, Farsi, Angrezi aur Arabi ke BA, MA aur P.hd Programme dastyab hain. Srinagar Campus mein muashiaat, Islamic Studies, Urdu aur Angrezi ka MA aur Urdu, Angrezi aur Islamic Studies ka P.hd Program Collages of teacher Education Bhopal ( Madhya Pradesh ), Darbhanga ( Bihar ) mein B.Ed, M.Ed aur P.hd in Education, Collages of Teacher education Asansol ( Maghribi Bengal ), Aurangabad ( Maharashtra ) , Sambhal ( Uttar Pradesh ), Nuh ( Haryana ) aur Bidar ( Karnataka ) mein B.Ed dastyab hai. Polytechnic Course mein civil Engineering, Computer Science Engineering, Electronic and Communication Engineering ke diploma Darbhanga. Bihar aur Bangaluru. Karnataka mein dastyab hain. Jabkay civil Engineering, Mechanical Engineering, Electrical aur Electronic Engineering, Kadapa. Aandhra Pradesh aur Cuttack. Odisha mein dastyab rahenge.
Tamam darkhwast guzaroun ke liye laazmi hai ke wo kam az kam dasvin / baarhavin mein Urdu medium se taleem haasil kar chukay hon ya bahesiyat zabaan ya mazmoon, Urdu kamyaab hon ya Masarha madarsoun se farigh hon jin ka zareya taleem Urdu ho. Tamam Programs ka zareya taleem Urdu hai. Tamam Programs mein dakhelay Maulana Azad National Urdu University Hyderabad Campus mein bhi dastyab hain. Darkhwasten University website manuu.Edu.in par sirf online hi qubool ki jayen gi. Tafseelaat ya kisi wazahat ke liye nizamat dakhla ku [email protected] par Email karen. SC/ ST/ OBC / mazoor / CWS umeedwaroun ke mukhtalif Programs mein dakhelay ke liye tahaffuzaat hukoomat hind ke zawabit ke mutabiq rahenge. University mein Hostel ki mehdood gunjaish faraham hai.