Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadUrdu University ke pesha warana courses mein dakheloun ka silsila jari

Urdu University ke pesha warana courses mein dakheloun ka silsila jari

Hyderabad: Maulana Azad National Urdu University mein taleemi saal 2020-21 ke liye Professional aur Technici Course jaisay B.Tech, M.Tech, MBA, MCA, B.Ed, M.Ed, DLEd aur Polytechnic Diploma mein dakheloun ka silsila jari hai. Un ke ilawa tamam P.hd Programs mein bhi Entrance ke zareya dakhelay dastyab hai . Urdu medium mein alla taleem faraham karne wali mulk ki ye wahid jamia hai.

Online darkhwast daakhil karne ki aakhri tareekh 10 June muqarrar hai. Aakhri tareekh mein towsee ka imkaan hai. Darkhawast University ke websites manuu.edu.in par sirf online hi qubool ki jayen gi.

University mein ek fa-aal training aur placement sale bhi qaim hai jo university ke kamyaab talba ko mulazimat ke husool mein madad karta hai.

Professor M. Vanaja, Director, Nizamat dakhela ke bamujab tamam darkhwast guzaroun ke liye laazmi hai ke wo kam az kam dasvin / baarhavin mein Urdu medium se taleem haasil kar chukay hon ya bahesiyat zabaan ya mazmoon, Urdu kamyaab hon ya mumasil madrsoun se fareq hun jin ke zaraye taleem Urdu hon.

Polytechnic Diploma Course mein Civil Engineering, Computer science engineering, Electronics and Communication Engineering, Information Technology, Mechanical, Electrical o Electrancs Engineering shaamil hain.
University head quarter Hyderabad ke ilawa B.Ed course university ke colleges of teacher education waqay Bhopal, Darbhanga, Aurangabad, Asansol, Sambhal, Nuh , Bidar par dastyab hai jabkay M.Ed aur P.hd ( Education ) mein dakhelay sirf Hyderabad, Bhopal aur Darbhanga mein diye jarahay hai.

Tafseelaat ya kisi wazahat ke liye nizamat dakhela ko [email protected] par Email karen. Aisay Course jin mein dakhela Merritt ki asaas par diya ja raha hai un ki aakhri tareekh 10 August muqarrar hai.

By: Abed Abdul Waseh