Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadUrdu University ke pesha warana Course mein dakhlay jari

Urdu University ke pesha warana Course mein dakhlay jari

B.Tech, B.Ed, DLEd o Polytechnic Programs dastyab. 10 July aakhri tareekh

Hyderabad: Maulana Azad National Urdu University mein taleemi saal 2020-21 ke liye professional aur takneeki Course jaisay B.Tech, M.Tech, MBA, MCA, B.Ed, MEd, DLEd aur Polytechnic diploma mein 10 July tak dakheloun ka silsila jari rahay ga. University mein mukhtalif Schools ke tehat professional taleem di jati hai jis mein school baraye technology, School baraye tarseel aama o sahaafat, School baraye taleem o tarbiyat, School baraye commerce o business management school baraye science waghera shaamil hain. Yahan ke kayi talba ko campus placement ke zareya nokryan haasil hoti hain. Is ke ilawa bhi university ke deegar shobo ke fareqeen ko bhi khangi aur sarkari nokryan haasil hoti hain. Mulki satah par Teachers ki bharti ke liye munaqidah Central teacher Eligibility Test ( CTET ) mein manu ke shoba taleem o tarbiyat aur 8 college baraye taleem asateza ke fareqeen ne Hindustan bhar ke teacher education collegeon mein sab se behtar muzahira kiya

Yahan par qabil staff, Behtareen Infrastructure, Smart classe Auditorium, Rooms aur zayed nasabi sargarmia jaisay khail kood, Fanoon lateefa ki tarbiyat ka bhi nazam hai. Madrasay ke fareqeen jinhoun ne university se aala taleem haasil ki ko bhi Facebook aur deegar bain qaumi companiyon mein mulazmat haasil hui hai.
Deegar Course mein PhD ( Urdu, Angrezi, Hindi, Arabi, Farsi, Mutalaat tarjuma؛ Mutalaat naswan, Nazam o nasq aama, Sayasiyat, Social work, Islamic Studies, Tareekh, Muashiaat, Taleem o Tarbiyat, Sahaafat o tarseel Aama managment, Commerce, Reyazi, Tabeeyat, Chemiya, hiwaniyat computer science, SEIP) programs mein bhi Entrance ke zareya dakhlay dastyab hai.

Urdu medium mein aala taleem faraham karne wali mulk ki ye wahid Jamia hai. Online darkhwast daakhil karne ki aakhri tareekh 10 July tak badha di gayi hai. Darkhawaste University ke Website manuu.edu.in par sirf online hi qubool ki jayen gi.

B.Tech aur M.Tech, computer science o information technology ke mazmoon mein dastyab hai.
Polytechnic diploma Course mein Civil engineering, computer science engineering, Electranic and Communication engineering, Information Technology, Electrical o Electronic engineering shaamil hain.