Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaUrdu ka husn is ka rusm-ul- khat mein Muzamer , Modi bhi...

Urdu ka husn is ka rusm-ul- khat mein Muzamer , Modi bhi Mutarrif

New Delhi: Urdu ke liye rusm-ul-khat ki tabdeeli ki behas aur wakalat ke darmiyan wazer-e-azam Narendra Modi  ne kaha hai ke Urdu ka husn is ka rusm-ul-khat hai, is ki sab se badi khoobi yahi hai ke usay dayen se bayen taraf likha jata hai.

Urdu zabaan ne sirf ek maqbool aam zabaan hai balke ye Hindustan ki khubsurat ganga jamuni tahzeeb ki alamat bhi hai. Hindustan ki saqafati ikhlaqiaat aur qadroun ki shamuliyati nouiyat, bahami rabt, ek dusre se qurbat aur zabanoun, rasm wo riwaj ko malaamaal karne ka waseela raha hai .

Urdu zabaan na sirf ek maqbool aam zabaan ke tor par ubhari  hai balkay yeh Hindustan ki khubsorat ganga jamuni tahazeeb ki alamat bhi hai. Wazer-e-Azam Modi  ne in khayalat ka izhaar qaumi council baraye farogh zabaan urdu ke mujawaza bain-ul-aqwami urdu conference ke liye arsaal kardah –apne pegham mein kiya hai.

Aaj ke aalmi tanazur mein urdu ka tahaffuz aur farogh ke mauzo par yeh teen roza conference yahan 18 March ko shuru ho raha hai. is mein duniya ke pandrah mumalik se mandoobeen shirkat karen ge. Iska iftetah insani wasail ke farogh ke markazi wazeer prakash javedkar karen ge, jab ke maheman-e-khusoosi ke tour par muslim rashtriyah munch ke sarbarah Inderesh kumar moujood honge .

Modi ne is conference ke ineqad par musarrat ka izhar karte hue kaha aalmi tanazur mein urdu zabaan ka tahaffuz aur farogh ki yeh koshish qabil sataish hai. zabaan ko maqbool aam bananay ke liye Technici aur digital aalaat Bashamol  audio  aur video ka istemaal kiya jana chahiye. unhoun ne umeed zahir ki ke yeh conference urdu zabaan ki tarweej wo ashaat ke liye aisay amli iqdamaat tajweez kare gi jis se usay duniya bhar mein urdu ko maqbool bananay mein madad miley gi,Darin isna NCPUL ke director Sheikh Aqeel Ahmed ne conference ki tafseelaat batayen.

Is conference mein aalmi tanazur mein urdu ki moujooda soorat-e-haal ka jaiza letay hue Urdu ki tousee wo tarweej aur taleem wo tadrees se mutaliq masail par ghour kiya jaye ga aur mandoobeen ki tajaweez ki bunyaad par urdu ke farogh ke liye ek marboot Laiha amal bhi tayyar kiya jaye ga, conference mein pandrah mumalik se mandoobeen shirkat kar rahay hain taham is mein Pakistan se koi mandoob shirkat nahi kar raha hai .

Pulwama waqea ke baad Hindustani awam ka mizaaj badal gaya hai aur usay dekhte hue jin nau Pakistani mandoobeen ko dawat di gayi thi un ka dawat nama wapas le liya gaya hai. is teen roza conference ke douran kayi ahem ijlaas honge jin mein urdu ki taleem mein madaris ka kirdaar, urdu fine arts aur Enfortainment, urdu ki samaji wo tehzibi soorat e haal, zaraye ablaagh aur urdu, aeen aur dosray qawaneen mein urdu shaamil hain. is chawtti aalmi conference ki khaas baat yeh hai ke is mein mukhtalif universitioun ke research Scholars ko bhi madoo kiya gaya hai .