Sunday, May 11, 2025
HomeTrending NewsUrdan 22 mumalik ke liye 5 August se parwazen

Urdan 22 mumalik ke liye 5 August se parwazen

Amman: Urdan ne 5 August se apne Airports commercial parwazoun ke liye kholnay ka faisla kiya hai. Media ke mutabiq Civil Aviation commission ke sarbarah Haitham Misto ne sarkari Television ko bataya ke 22 kam khatray walay mumalik se parwazon ki ijazat di jaye gi.

Unhoun ne kaha hai ke wizarat sahet ne Austria, Canada, China, Denmark , Georgia, Germany, Ireland, Italy, Malaysia, New Zealand, Norway, Switzerland, Taiwan aur Thailand ko green mulkon ki fehrist mein shaamil kiya hai. Civil Aviation Commission ke sarbarah neh kaha ke un mumalik se anay walay musafiron ko Urdan pounchanay par 14 din ke liye Quarantine honay ki zaroorat nahi hogi lekin aamad se pehlay coronavirus ka test karwana zurori hai. Unhoun neh mazeed kaha ke har 2 haftay baad is fehrist ko Upload kiya jaye ga.

Media ke mutabiq hukoomat Urdan neh green mumalik ki fehrist tayyar ki hai is se morad aisay mumalik hain jahan corona ki waba ke khatraat mehdood hain. 22 mumalik mein se 12 aisay hain jin ke liye Urdan barah-e-raast parwazein chalata hai. Mehakma shehri hawabazi neh bai- ul-aqwami fazai companiyon ko mutala kiya hai ke Urdan ke Airport aisay tamam mumalik se anay wali bain-ul-aqwami parwazon ka kher muqaddam karen ge jinhein wizarat sahet waba se pak qarar day chuki hai. Parwazein Urdan anay jaaane ke liye muhayya hon gi.

Urdan ke wazeer transport Khalid Saif neh kaha ke un musafiron ko Urdan pounchanay se pehlay fehrist mein shaamil mumalik mein se ek mein 2 haftay guzaarne ka saboot lazmi pesh karna hoga. Agar kisi neh ghalat maloomat faraham kee tu is par 10 hazaar Dinar jurmana kiya jaye ga. Yaad rahay ke Urdan mein coronavirus ka philav roknay ke liye March ke wa-st mein Airport band kard yai gaye aur bain-ul-aqwami parwazein moattal theen. Urdan ki maeeshat bain-ul-aqwami imdaad, Sayahat ki aamdani aur tarseelat zar par ziyada inhisaar karti hai. Coronavirus ke bohraan se pehlao Urdan mein salana 50 lakh musafiren atay they. Sayahat mulk ke GDP ka 14 feesad hai. Sayahat se Urdan ko guzashta saal 5.3 billion dollar ki aamdani huvi thi.