Hyderabad : Wazeer-e-aala K.Chandra Shekhar Rao ney aaj wazeh tor par elaan kiya hai ke riyasat Telangana ki tashkeel ke baad kisi ko Uranium Mining ke liye ijazat nahi di gayi hai. aur kaha ke mustaqbil mein bhi hukoomat ki taraf se is ki ijazat dainay ka koi iradah nahi hai.
Assembly mein budget par behas ke douran jawab dete hue, wazeer-e-aala ney yeh bhi taiqun diya ke woh kisi bhi haalat mein Nallamala ke janglaat ko tabah karne ki ijazat nahi denge.
KCR ney mazeed kaha ke ”Unki mukhalfat ke ba wajud congress hukoomat ney 2009 mein, mutahidda andhra pradesh mein, Uranium ki kaan kinny ki ijazat day di thi. unhon ney kaha ke andhra mein Uranium ki kaan kinny shuru hogayi hai, aisi sorat-e-haal paeda hosakti hai jab godavari aur krishna nadiyon ka pani aalooda ho gaya tha aur kasht karoun ko kaafi nuqsaan uthana padha tha.
Unhon ney kaha ke hyderabad aanay wala pani bhi aalooda hosakta hai. un tamam awamil ko madd-e-nazar rakhtay hue, Uranium ki kaan kinny ki ijazat dainay ka sawal hi paeda nahi hota hai. KCR ney logon ko yeh bhi yaqeen dilaya ke is maslay par kisi qisam ki be-chaeni ki zaroorat nahi hai aur is baat ka irada kiya ke hukoomat kisi bhi haalat mein Uranium ki kaan kinny ki ijazat nahi degi.
Wazeh hoke congress aur doosri jamaten TRS hukoomat par Uranium kaan kinny ki ijazat dainay aur Nallamala ke janglaat ko tabah karne ka ilzaam laga rahi theen. congress qaideen bhi is muamlay par TRS hukoomat ke khilaaf ehtajaji programon ke mansoobah bandi kar rahay they. magar KCR ke bayan ney congress party ke is mansoobay ko nakaam bana diya. –YTN STAFF