Monday, April 29, 2024
HomeHyderabadUppal ke tareekhi Flyover ka kaam teezi se jari

Uppal ke tareekhi Flyover ka kaam teezi se jari

Telangana riyasat ke darul hukumat Hyderabad ke mashriki hisse me Telangana ka dusra tabil Flyover uppal Elevated Corridor takmeel ki taraf teez raftar se gamilzam hai aur ke nayi tareeq banane ki tameel ho rahi hai.

Roads and Buildings (R&B) umeed kar rahe hai ke elevated corridor ek saal me taiyaar hojaye ga jo PV narsimha Rao Ecpressway ke baad riyasate Telangana me dusra sabse taveel flyover hoga aur iski musafat 6.2km hogi jo musafreen 11.6 km se ziyada ka fasala tey karta hai.

675 crore lagat se tameer hone wala ye flyover elevated corridor ka magsad Warangal ki taraf jane wali traffic ko kum karna aur uppal ke muqami awaam ke liye asan rah faram karna hai ye 45 meters choodha 6 lane rahadari Uppal junction se shuru hoti hai aur waste toor par Central Power Research Institution ke pass ekhte dam pazeer hoti hai.

ALSO READ:-Hyderabad ke jubilee hills Flyover iftitah ke liye tayyar

Roads and Buildings department ke National Highways wing 2018 me ye flyover ka kaam shuru kiya tha thaam zameen aur jaidat ke hesool ki wajha se isme taqir hui thi Engineer-In-Chief, National Highways, R&B, Ganapathi Reddy ne kaha hai ke Uppal Hyderabad ke ek masroof tareen ilaqe me se ek tor par ubhra hai aur traffic ka hujoom aur sust baho dekhne me aa raha hai inhone kaha hai ke is nasube se Uppal aur Yadadri-Bhongir aur warangal ki taraf se traffic ke masahil ko kam karne me madat milge.

Inhone kaha hai ki is waqat rahedari ke 4.5 km ke taqweel hisse me kaam jari hai jabke riyasat hukoomat 1.5km ke liye arzi hasil kar rahi hai is rahe dari me 148 sutoon hoge Jinmese 120 sutoon pehle he rakhe ja chuke hai pre cast tareqe ke zariye sutoon par chaat khada karne ke liye kaam me teezi layi gayi hai. Zameen ke issol ke liye 330 crore rupee muqtasas kiye gaye hai kuyke Uppal aur masroof ilaqe se ziyada tar kaam raat ke waqt he kiya jarahe the ek baar jab zameen ka sole mukamil hogjayega toh kaam teezi se jari kiya jayega kyuke mansoobe ko khatam karne ka hadat 2022 hai. PVNR Expressway jaha 2 wheeler gadiyo ko jane ki ijzat nahi hai yaha Uppal ke elevated corridor par har gadi ko jane ki ijzat dijayegi