Rae Bareli: Uttar Pardesh ke Rae Bareli mein police ne 30,000 Kelo nagli ‘ Zeera ‘ Bar-aamad kiya hai, Jo nariyal ke jhadoo ke tukdoun, Ghaas aur pathar ke powder ke istemaal se tayyar kiya gaya hai. Police ne is maamla mein saat afraad ke khilaaf FIR darj karkay tafteesh ka aaghaz kar diya hai.
Police ne 30,000 kilo grame naqli zeera Bar-aamad kiya, Jis mein asli zeera mila kar riyasat ke mukhtalif shehroun mein le jaya ja na tha. Maharajganj police Superintendent Vineet Singh ne bataya’ ye naqli zeera zila ke Maharajganj ilaqay mein ek makeshift gud ke pouday par chaapay ke douran bar-aamad huwa hai. Mukhtalif taajiroun ko farokht kiye jaaney se qabal naqli zeera ko 80 se 20 ke tanasub mein asli zeera milaya jata tha“.
Mulzim jhadoo bananay ke liye ghaas khareed ta tha aur usay zeera ke size ke tukre mein kaata jata tha. Is ke baad usay garam gud ke sath milaya jata tha aur usay asli zeera mein mila kar bazaar mein farokht kiya jata tha. Vineet Singh ne bataya ke, Delhi mein bar-amadgi ke baad hamein maloom huwa ke Maharajganj mein kuch loog jhadoo bananay ke liye istemaal ki jaaney wali ghaas khareed te hain, Lekin jhadoo nahi banatay. Is se shak peda huwa aur jab hamari teamon ne un par karwai ki to, Wo naqli zeera bananay walay goruh mein se they.
Is goroh ke arkaan naqli zeera beech kar 50 se 60 guna ziyada munafe kamate hain aur 1 saal se ziyada arsay se ye kaam chal raha tha. Is muqadmay mein darj afraad mein, Prashant Sadu, Kamlesh Maurya, Pankaj Verma, Indrajeet, Pavan Gupta, Rajendra Prasad and Chotelal shaamil hain, Aur ye tamam hi Maharajganj ke rehne walay hain. Mazkura mulzimaan faraar hain. Unki giraftari ke liye police ki 2 temen tashkeel di gayi hain. –YTN STAFF