Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaUP mein is baar do Dozen se ziyada BJP arkaan-e-Parliament ke kat...

UP mein is baar do Dozen se ziyada BJP arkaan-e-Parliament ke kat Sakte hain Ticket

Hyderabad: Ram mandir, Rafael aur berozgari ke madad kay ke beech airstrike ka maamla samnay aaya to siyasi mahol hi badal gaya. aur is badlay hue ye mahol se BJP kafi khush hai. kyunkay ussay lagta hai ke yeh mahol poori tarha unke haq mein hai. ussay yaqeen ho chala hai ke is baar bhi wazer-e-azam Narendra modi aur BJP ke saddar amit Shah ki jodi kamaal kare gi. khaas kar UP mein to kuch ziyada hi bharosa hai. zaraye ki manein to isi aetmaad mein BJP ne apne do douzen se ziyada arkaan-e-Parliment aur leadroun ke ticket kaatnay ki tayari kar li hai. jis ki bhanak lagtay hi un leadron ne bhi party ke khilaaf morcha khol- diya hai .

Zaraye ke mutabiq Uttarpradesh ke jin leadron ka ticket kat sakta hai, unn mein anao se rukan-e- parliment Sakshi Maharaj, hardoi se Anshul verma, Muradabad se suresh singh, shajahan poor se rukan parliment krishna raaj, khiri se ajay mishra teeny, Dhurahra se raikha verma,Baaghpat se satiya paal singh, Diyori se Kalraj mishra, mirth se rajendr Agarwal , Prayagraj se shyama charngupta, Aetava se ashok kumar dohray, Nagina se yashont singh, Sahranpur se Raaghu, waghera par ticket katne ki talwar latak rahi hai. is ke ilawa ghosi se hari narayan Rajbabar , Saubhandar se chote Laal kharoora , bulleya se Bharat singh, machhli shehar se Ram Charitra Nishadawar jhonpor se rukan parliment krishna pratap singh kabhi ticket kat sakta hai .

Ab Sonchne  wali baat yeh hai ke 2014 ke baad se BJP jahan laal krishan adwani aur murli manohr joshi jaisay badey Leaders sirf sun rahay hain. boltay hue kam hi sunay gaye hain, wahan dosray kisi leader ki kya haisiyat ho sakti hai. phir bhi agar kisi ne party mein bolaney ki himmat jatai hai to is ki do wajohaat ho sakti hain.Pehlia iski hesiyat mojooda Aala qiyadat ko takkar dainay ki ho gayi ho. ya phir dosra Aala qiyadat ki taaqat mein kamzor ho gayi ho.

Waisay BJP jamhoori jamaat hai. aur sab jantay hain ke 2014 ke baad party mein agar kisi ki chalti hai to wazer-e-aazam Narendra Modi aur Amit Shah ki .

Hukumat mein dosray darjeh ki hesiyat rakhnay walay wazeer-e-dakhla Rajnath singh ki bhi is douran kisi badey faisla mein koyi khaas ahmiyat nazar nahi aayi. pichlle kuch saloon ki baat karen to hamein Rajnath Singh ka ek hi bada faisla yaad hai, jab unhon ne–apne dora sadarat yani 2013 mein laal krishan adwani jaisay ja nemanay leadron se narazgi mol letay hue BJP ke wazeer aaazm ohday ke umidwarke tor par Narendra modi ke naam ki peshkash ki thi. uske baad se to charcha yahi hai ke hukoomat mein moodi aur tanzeem mein amit Shah ke ishaaron ke baghair patta bhi nahi hilta .
Aisay mein arkaan-e-parliment baghaawat par utray hain to koyi nah koi bunyadi wajah hogi hi. ab aisa sun-hwa ke air strike ne mulk mein BJP ka mahol bana diya hai to doosri taraf yeh surway report batati hai NDA aur BJP ka muzahera un intikhabaat mein 2014 jaissa nahi rahay ga. is surway ko agar manen to BJP ke liye hukoomat banana asaan nahi hoga. is report ne arkaan-e-parliment ko apni baat rakhnay ki taaqat bakhsh hai jisay baghaawat bhi keh satke hain .

UP mein BJP ka is baar 74 nishistain jeetnay ka nishana hai. jisay pora karne ke liye woh ticketoun mein phair badal karna chahti hai. is liye BJP–apne do darjan se ziyada arkaan-e-parliment ka patta kaat sakti hai. yeh wo arkaan-e-parliment hain jo party ke internal serve mein aur party ke aala kamaan ki umeedoun par khaday nahi utray hain .

2014 se BJP ka’ ‘Vijay Rath ‘ jo chalna shuru sun-hwa to 2017 tak Dehli aur Bihar ke ilawa sabhi reyaston ke assembly intikhabaat mein aam intikhabaat jaissa hi muzahira kiya. Modi aur Shah ki koshishoun se BJP mulk mein sab se ziyada reyaston mein Hukumatein bananay wali party ban gayi .

Is douran party ki janib se kiye gaye kayi sakht faislay bhi samnay aaye. jis mein se ek tha ke 75 saal se ziyada Umar walay ledraon nah to intikhab lad payen ge, aur nah hi kisi baday ohday par rahen ge. Halaan ke ab is faisla ko wapas le liya gaya hai, lekin uss waqt is faisla se kalraaj mishra mutasir hoye they. unhen wizarat chhodhni padi thi magar woh kuch nahi bol- sakay they. magar ab halaat badlay nazar arhay hain. ho sakta hai ke votoroun mein BJP ka –apne aap ko mazboot batana sach ho, magar party arkaan mein uss ki chamak damak kamzor padrahi hai. jis ki haliya misaal anao ke rukan parliment sakshi maharaj hain jinhon ne jamaat ko khat likh kar kaha ke agar un ka ticket kata to BJP paanch laakh voton se hare gi .

Ab jaisay jaisay Lok sabha intikhabaat ki tareekhen nazdeek aati jayengi BJP ke baaghi arkaan ki narazgi mazeed badhay gi jis ka BJP ko nuqsaan hoga.Jaankaroun ke mutabiq is baar BJP ka muqaabla sirf SP, BSP ke mazboot ittehaad aur congress se hi nahi hoga, balkay uss ke rastay mein party ke baaghi arkaan-e-parliment bhi uss ki raah mein kantay boneke liye tayyar rahenge.