Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaUP mein aaj se Plastic aur is se banay masnoaat par pabandi

UP mein aaj se Plastic aur is se banay masnoaat par pabandi

Uttar Pradesh: Riyasti hukoomat ki janib se Uttar Pradesh mein aaj yakam September se plastic aur is se banay masnoaat ki farokht aur istemaal par pabandi ayed ki gayi hai. Riyasat bhar mein yakam sepetember sey mamnooa plastic kahin bhi farokht hota huwa paaya gaya to is ke zimme dar SHO aur Municiple corporation ke ilaqai ohdedar hon ge. Kal se riyasat mein 50 maykron se bhi kam patli plastic ki masnoaat ko istemaal karte huwe paaya gaya to aik lakh rupiye tak jurmana aur chay mahinay ki jail ki saza ka bandobast hai.

Mehakma dakhla ke principal secretary Aonish Awasthi ney peer 26 August ko jari aik hidaayat mein kaha tha ke 31 August ke baad agar Uttar Pradesh ke kisi bhi ilaqay mein mamnooa plastic ki farokht kiye jaaney ki ittila mili to mutaliqa police station officer, municipal corporation ke regional officer, commerical Tax ilaqai Afsar aur mutaliqa khittay ke magistrate aur daraaye ikhtiyar ke afsaraan ko mushtarqa tor par zummedaar samajte huwe, un ke khilaaf sakht karwai ki jaye gi.

Unhon ney tamam zilai magistrate aur senior supridendent of police ko hidaayat ki hai ke woh –apne ilaqay mein Politeen ki  farokht ki rok thaam ke liye munasib karwai karen. Aur 3 din mein mukammal tor par plastic ke farokht ko band kurwaye. is ke ilawa mutaliqa awaami numainday ko bhi is se aagah kiya jaye.

Unhon ney kaha ke woh khud un ilaqon mein jayen gey aur dekhen ge ke pabandi ki pairwi ki ja rahi hai ya nahi. Uttar Pradesh hukumat ki janib se plastic par pabandi ayed kiye jaaney aur is ki khilaaf varzi par hukkaam ke khilaaf sakht karrawayi ke intibah ke baad Lucknow Police ney aik help line number jari kya hai aur logon se kaha gaya hai ke plastic farokht karne aur tayyar karne se mutaliq is number par ittila den.