Pilibhit: Uttar pradesh ke Pilibhit ke ek sarkari school ke talba ke ”Lab pay aati hai dua ban ke tamanna meri nazam” gaaney par school ke head master ko muqami Vishwa Hindu parishad ( VHP ) aur bajrang dal ki shikayat ke baad mo-attal kar diya gaya. mazkoorah nazam ”Lab pay aati hai dua ban ke tamanna meri “1902 mein aalmi shohrat Yafta shayar allama Iqbal ne likha tha. iske alawa allama Iqbal ne qaumi taranah ”Sare jahan se acha Hindustan hamara” bhi likha hai, jisay aksar padha jata hai.
Ittila ke mutabiq, VHP ki shikayat par, block education officer ki janib se is ki tehqiqaat ki gayi, jis par pata chala ke talba school mein har subah yeh nazam gatay they. district magistrate Pilibhit, vaibhav srivastav ne kaha ke is school ke head master ko mo-attal kar diya gaya hai, kyunkay woh talba ko qaumi taranah nahi padha rahay thay. unhon ne kaha ke agar head master talba ko nazam sikhana chahtay thay to iski ijazat leni chahiye thi. agar wo qaumi tarane ke bajaye koyi nazam padhatay hain to phir yeh ek jurm hai.
Taham, mo-attal kiye gaye head master 45 sala Furqan Ali , un ilzamaat ki tardeed kar te hue kehte hain ke ”talba qaida qaumi taranah gatay hain aur Iqbal ki nazam jamaat awwal se aathween jamaat tak ke urdu nisaab ka ek hissa hai. jisay gaaya jata hai. Furqan Ali ne kaha ke ”talba subah ko rozana ”Bharat mata ki jaye ka naara bhi lagatay hain. magar VHP aur hindu vahni ke kaarkunon ne school ke bahar aur collectorate mein ehtijaj kiya aur mujhe hataane ka mutalba kiya.
Darin asna peelibheet ki taleemi Adheekari ( BSA ) Devendra swarup ne kaha ke VHP aur bajrang dal ke kaarkunon ki taraf se shikayat is ke khilaaf nahi hai ke qaumi taranah gaaya jata hai ya nahi, balkay unko Iqbal ki nazam ke khilaaf aiteraaz hai. –YTN STAFF