New Delhi : Congress ki general secretary Priyanka Gandhi Vadra ne chaharshambe ko Uttar pradesh ki Yogi Adityanath hukoomat par qarz maafi ke naam par riyasat ke qarz mein dubey kisanoun ko dhoka denay aur had se ziyada barish ki wajah se fasloun ke nuqsanaat ki talaafi karne mein nakaam rehne ka ilzaam lagaya.
Unhon ne Tweet karkay kaha kay ”UP hukoomat ne kisanoun ko harasan karne ke liye mutadid tareeqay ikhtiyar kiye hain. isne inhen qarz maafi ke naam par dhoka diya, bijli ke bill ke naam par inhen jailoun mein daal diya, aur saelaab wo barish ki wajah se tabah hui fasloun ke nuqsanaat ka muawza diya.
Priyanka ne kaha ke UP mein BJP ki hukoomat sirf ishtiharoun mein hi kisanoun ko yaad karti hai. –YTN STAFF