Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaUP Hukoomat ne CAA ke khilaaf muzahira karne waloun ki Jayedadein zabt...

UP Hukoomat ne CAA ke khilaaf muzahira karne waloun ki Jayedadein zabt keregi

Lucknow : Lucnow ke zilai magistrate abhishek prakash naay chaar rukni panel tashkeel diya hai, jo CAA ke khilaaf muzahiron mein honay walay tashadud ke douran sarkari wo niji amlaak ko honay walay nuqsaan ka andaza lagayega. yeh panel, pareshani paeda karne waloun ki nishandahi kare ga aur un par jurmanay aed kerega aur agar raqam ada karne mein nakaam rahay to un ke asasay zabt kar lenge. yeh hukum, alahabad high court ke 2010 ke aik faislay par mabni hai, jis ke zariye hukoomat ko is se honay walay nuqsaan se bahaali ki ijazat millti hai .

Jumeraat ko wazeer e aala yogi adtya nath naay kaha ke tashadud mein mulawis afraad ko awaami amlaak ko pounchanay walay nuqsaan ki qeemat ada karni padegi. district magistrate ke jari kardah hukum mein kaha gaya hai ke additional district magistrate ( ADM ) ( east ), ADM ( west ) ADM trans gomti aur ADM add administration is committee ka hissa hongi, jo amlaak ko pounchanay walay nuqsan ka jaiza legi .

Mazkorh committee un logoun se numaindagi talab karegi, jin ko nuqsaan pouncha hai aur awaami amlaak ko pounchanay walay nuqsan ka bhi jaiza liya jayega. tashadud ke zimmedaar afraad ki shanakht mukhtalif  ilaqon mein ki jaane wali CC TV footage aur video rerecording ke zariye ki jayegi. aur yeh amal 30din mein mukammal ho jayega. aik senior ohdedar ne kaha ke un azlaa mein yeh amal dohraya jayega, jo haal hi mein CAA ke khilaaf muzahiron ke douran honay walay tashadud ka inkishaaf hwa hai. lucknow mein zilai ohdedaron ne fasaad barpaa karne walon ki shanakht ka amal CC TV footage se shuru kiya hai. mukhtalif news channels ke zariye bani video rerecording bhi haasil ki jayegi .

is beech, haftay ke roz riyasti dar-ul-hukoomat ke mutadid ilaaqon mein is waqt khauf o hiraas phail gaya, jab mushtaba afraad ke gharon par qabzay ki it-tila-aat maosool ho rahi theen. Gorakhpoor mein mukhtalif chorahon par 50 ke qareeb fsadyon ki tasaveer chaspan ki gayeen. YTN STAFF