Friday, May 17, 2024
HomeIndiaUP hukoomat ka Intezamiya Chinmayanand ko bacha raha hai: Priyanka

UP hukoomat ka Intezamiya Chinmayanand ko bacha raha hai: Priyanka

New Delhi : Congress ki general secretary Priyanka gandhi Vadra ne itwaar ke roz sabiq markazi wazeer Chinmayanand muamlay mein Uttar pradesh ki BJP hukoomat par sakht tanqeed karte hue ilzaam lagaya ke BJP rehnuma ke khilaaf ismat darri ka muqadma darj kiya gaya hai aur intizamia sabiq markazi wazeer ko bacha raha hai.

Priyanka ne tweet kiya ke ”Ismat darri ka shikaar apne sath hui zayad-ti ki kahani sunanay ke bawajood bhi BJP rehnuma par muqadma darj nahi kiya gaya tha, kyunkay poora BJP intezamia Chinmayanand ko bacha raha tha.

Wazeh hoke ”qanon ki ek Taliba ne Chinmayanand par ismat darri ka ilzaam aaed kiya. Fil waqt Chinmayanand hirasat mein hai. iske alawa is 23 sala ladki ko baad mein special investigation team ( SIT ) ne raqam ka mutalba karne ke ilzaam ke tehat girftar kiya hai. aur adalti tehweel mein bhej diya gaya hai. –YTN STAFF