Lucknow : Unnao ki Ismat raizi mutasirah ko insaaf dilanay aur BJP ke rukan-e-assembly Kuldeep singh Sengar ko Dehli ki Tihar jail bheje jaanay ke mutalba ke sath congress nay riyasat bhar mein dastakhat muhim shuru ki hai. is muhim mein badi tadaad mein jawaa khawateen nay bhi hissa liya jis ki congress ki general secretary Priyanka Gandhi ki sataish ki hai.
Wazeh rahay ke congress ki general secretary Priyanka Gandhi ki appeal par party ki dastakhat muhim ka aaghaz 3 augst ko hua aur yeh 6 august tak jari rahaygi. muhim ka pehla din be had kamyaab raha aur ladkoun ke sath ladkiyoun nay khatir khwa tadaad mein is mein shirkat ki.
Priyaka Gandhi naay Tweet kar ke kaha ke Lucknow mein badi tadaad mein Unnao ki beti ko insaaf dilanay ke liye ladkiyan hissa le rahi hain. unhon nay kaha ke mujrimon ki pusht panahi aur Ismat darri jaisay sangeen jurm ko injaam dainay ke baad bhi mujrimoun ke dilon mein koi khauf paeda nah honay ko challenge isi himmat aur ek-jahti se diya ja sakta hai.
Qabal azeen, Unnao Ismat raizi aur haadsa maamla mein supreme court ki taraf se sunaye gaye faisla aur rukan assembly ko party se moattal karne ke maamla mein bhi Priyaka gandhi naay BJP ko hadaf tanqeed banaya.
Unhon naay Unnao tweet mein kaha, Unnao Ismat darri maamla aur mutasirah ke poooray khandan ko istehsal ka shikaar banana, hukoomat aur intizamia ki pusht panahi ke baghair mumkin nahi hai. ab parday khel rahay hain aur BJP Rehnumaoun ke naam par police ki lipa poti manzar aam par aa rahi hai. congress insaaf ke liye pur-azm hai. yeh ladai hum mazbooti ke sath lading.
Congress ki is dastakhat muhim mein hissa lainay wali ladkiyoun ka gham wo ghussa saaf zahir ho raha hai aur woh yeh sawal kar rahi hain ke BJP ke ek rukan-e-assembly itna sab kuch kar ke bhi ab tak koi saza kyun nahi pa saka.
Congress assembly party ke leader Ajay kumar lallu nay kaha ke mutasirah ke qatal ki koshish aur is muamlay mein supreme court naay tamam paanch mamlaat ko Dehli muntaqil karkay insaaf ki nai umeed jagayee hai lekin rukan assembly ko jab tak Uttar pradesh se Tihar jail nahi bheja jata tab tak is khandan ki jaan khatray mein rahaygi.
Unhon nay kaha ke is waqea nay Hindustan ke awam ko jhinjhod kar rakh diya hai wahein yogi ki hukoomat mein aman wo qanoon ki asli sorat-e-haal ka pata chal gaya hai. aisay mein aam logon ke samnay is muamlay mein insaaf ke liye saddar se mudakhlat karne ki appeal karne ke alawa koi aur charah nahi bacha hai. –YTN STAFF