Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaUnnao esmatdarri maamla mein Kuldeep Singh Sengar kusurwaar qarar

Unnao esmatdarri maamla mein Kuldeep Singh Sengar kusurwaar qarar

New Delhi: Unnao esmatdarri maamla mein, Uttar Pradesh BJP ke sabiq rukan Assembly Kuldeep Singh Sengar ko CBI ki khusoosi adalat ne 2017 mein Unnao zila se na baligh ke aghwa aur is ke sath zayad-ti ke muamlay mein peer ko qasoor waar tehraya hai. Sengar ko IPC ki dafaa 376 aur Posco Act ke section 5 C aur 6 ke tehat saza sunai gayi hai.

Mazkorh case ki samaat mukammal honay ke baad district judge Dharmesh Sharma ne kaha tha ke wo 16 decemeber ko apna fesla sunaenge. Supreme Court ki hidayat par, Is muamlay ko lacknow se Delhi muntaqil kiya gaya. jis ke baad 5 August se rozana is muamlay ki samaat ki jarahi thi. Kuldeep Sengar ko kya saza di jayegi iska jumaraat ko pata chalay ga.

Is faislay ka awam kobay cheeni se intezaar tha, Kyunkay is muamlay mein utaar chadhao aur qatal ki mobayyana koshish se mulk ko jhanjodh kar rakh diya tha. Aur loog Sengar ke liye sakht saza ki maang kar rahay they. Jab BJP se moattal kiye gaye rukan Assembly Sengar ko saza sunai gayi, To unke saathi  Shashi Singh  ko khusoosi judge Dharmesh Sharma ne bari kar diya. Shashi Singh par mutasirah ko behla phisla kar rukan Assembly ke ghar lejaaney ka ilzaam tha. Faisla mobile phone ricords se milnay walay shawahid par mabni tha. Judge ne kaha ke ”Shashi Singh ka kirdaar mashkook hai. Ye wazeh hai ke wo ladki ko mauqa par legaya, Lekin wo nahi janti thi ke ye waqea pesh aeyega.

Kuldeep Singh Sengar, Jo Uttar Pradesh ki Bangarmau Assembly nashist se chathi baar rukan Assembly muntakhib hove they. Sengar par mutasirah ladki ko nokri dainay ka wada karke apni rahaish gaah par is ki esmatdarri karne ka ilzaam tha. Inhen mazkorh case ke samnay anay ke baad 2019 mein BJP se nikaal diya gaya tha. Adalat ne 9 August ko rukan assembly Sengar aur unke saathi Shashi Singh ke khilaaf mujrimanah saazish, Aghwa. Esmatdarri aur Posco Act se mutaliq daf-aat ke tehat ilzamaat aed kiye they. Is muamlay mein 4 mah se ziyada samaat chali.

Kuldeep Sengar par ilzaam laganay wali ladki ko 28 July ko ek truck ne takkar maari thi, Jis mein wo shadeed zakhmi hogayi. Jabkay is haadsay mein is ladki ke 2 rishta daar halaak hogaye they aur iske ahal khanah ne is haadsay ko saazish kiye jaany ka ilzaam lagaya tha. Supreme Court ne yakam August  ko Unnao rapes case mein darj 5 muqadmaat ko UP ke Lacknow ki adalat se Delhi adalat ko muntaqil kar diya aur hadaayat ki ke is muqadmay ki samaat.

Rozana ki bunyaad par kijaye aur usay 45 din mein mukammal kiya jaye. Ye hidaayat is waqt ke chief justice of India Ranjan Gogoi ko, Mutasirah ladki ki janib se likhay gay khat par ghhor karne ke baad di gayi thi. –YTN STAFF