Friday, May 10, 2024
HomeIndiaUnlock 5.0: Uttar pradesh mein 19 october se dobarah khulenge schools

Unlock 5.0: Uttar pradesh mein 19 october se dobarah khulenge schools

Lucknow: Coronavirus wabai marz phelnay ki wajah se 6 mah se ziyada band rehne ke baad Uttar pradesh hukoomat ne hafta 10 october 2020 ko elaan kiya ke Uttar pardesh ke secondary schools ko kholnay ki simt mein yogi hukoomat ne pehal ki hai.

Riyasat ke tamam schools ko 19 october se marhala-waar classes ka dobarah aaghaz hoga aur talba ko mutabadil din mein bulaya jayega.

Uttar Pradesh deputy chief minister Dinesh sharma jo secondary aur aala taleem ke wazeer bhi hai, ne elaan kiya ke pehlay marhalay mein 9th jamaat se 12th jamaat ke liye schools dobarah khul jayenge, Classes do shifts mein munaqqid ki jayenge aur talba ko mutabdil din mein bulaya jayega, pehli shift mein 9th aur 10th class hogi jabkay doosri shift mein 11th aur 12 th class hogi.

yeh faisla markazi hukoomat ki janib se is elaan ke baad kiya gaya hai ke “Riyasatein aur UTs 15 october ke baad schools collegeon aur taleemi idaron ko dobarah khol satke hain”.

It-tila-aat ke mutabiq talba mein samaji faasla barqarar rakhnay ke liye classes do shifts mein shuru hogi. Talba ko apne walidain ya sarparaston ki tehreeri ijazat ke baad hi school aanay ki ijazat hogi. yogi adityanath ki zair-e-qiyadath hukoomat ne kaha ke markazi vizrat-e-dakhla umoor aur Uttarpradesh hukoomat ki jari kardah hidaayat-naame ke mutabiq schools mein dobarah classes ka aaghaz karenge.

Markazi hukoomat ke mutabiq schools ke campus mein tamam ilaqon, furniture, equipment, stationery, storage places, water tanks, kitchens, canteen, washrooms, laboratories, libraries, aur androoni jagah mein mein mukammal safai aur jaraseem kashi ke intizamaa aur un par amal-dar-aamad karne aur Hawa ka bahao yakheeni bananay ki zaroorat hai.

Schools ko bhi task teams tashkeel dainay ki zaroorat hai jaisay Emergency Care Support/Response Team, General Support Team for all stakeholders, Commodity Support Team, Hygiene Inspection Team waghera jo mukhtas zimmedarion ke liye madadgaar saabit hogi.

Darin-asna Riyasat bhar mein guzishta 24 ghanton ke douran 3000 naye corona cases report hue, jo 40٫210 tak pahonch gaye.