Saturday, May 18, 2024
HomeLatest NewsUnke Janam Din Par Ishtiharaat Ke Liye Paise Kharch Na Karne, Party...

Unke Janam Din Par Ishtiharaat Ke Liye Paise Kharch Na Karne, Party Leaders Se KTR Ki Appeal

Hyderabad : TRS ke kar-guzaar sadar KT Rama Rao ne aaj party leadroun, kaarkunoun, dostoun aur hamiyoun se yeh appeal ki ke woh 24 july ko unke ( KTR ke ) janam din ke mauqa par ishtiharaat dainay ke liye paise kharch nah karen.

Unhoun neh Twitter ke zareya kaha ke unke janam din per zarurat mand logon ki madad karne aur inhen ”muskurahat ka tohfa “ dainay ko kaha. sath hi unhoun neh party leaders aur kaarkunon se, unke janam din ke mouqe par akhbarat aur TV channeloun mein ishtiharaat dainay ke liye raqam kharch karne ke bajaye dosaron ki madad karne, padosiyoun ki madad karne aur unke chehray par muskurahat laane ki Talqeen ki.

Is mauqa par MLC Naween kumar neh ambulance kharidne ke liye ek NGO ko 10 laakh rupiye dyie. sath hi kuch NRI bhi aisa karne ke liye agay aaye. is tarhan ghareeboun ki madad karne ki KTR ki appeal karkard ho rahi thi. –YTN STAFF