Monday, April 29, 2024
HomeSliderUmrah par aarzi pabandi, Saudi hukoomat ka durust faisla

Umrah par aarzi pabandi, Saudi hukoomat ka durust faisla

Riyadh: Coronavirus ne is waqt saari duniya ko pareshan kar ke rakh diya hai. Is mohlik virus ki wajah se jahan kayi mumulk ke jani o maali nuqsanaat bardasht karne padrahe hai wahein un mumulk ko bhi ek khadsha hai na jane kab un ke ilaqoun mein is mohlik aur wabai marz ka mareez nikal aeye aur dekhte hain dekhte un ka mulk bhi is mohlik marz ki lappet mein aajay.

Coronavirus ke China se shuru hokar padosi mumulik Iran, Pakistan aur khaleji mumulik mein Kuwait, Oman ke alawa Asia mumulik Malaysia, Indonesia, Japan aur shumali o janoobi Korea mein phelnay ke sath hi awam mein ek be cheeni phelnay lagi ke is ki rokk thaam ke liye kiya kiya jaye lekin sab se ziyada behas to Social Media par is waqt dekhnay ko mili jab Saudi Arab ne is virus ki wajah se Umrah aur Masjid Nabawi ki ziyarat par earzi pabandi aed kar di. Hindustan ke sarfeen ki ek badi tadaad ne usay ek mayoos kun khabar qarar dainay lagey jabkay Pakistani awam ne bhi guzashta denu un ke wazeer e azam Imran Khan ki janib se China mein phasay talba ko mulk wapas na laane ka faisla kiya to ek waweela machaya gaya tha.

Coronavirus ek wabai marz hai aur wabai marz se mehfooz rehne ke zimn mein sheryat ne hamari wazeh rahnumai ki hai aur hadees Nabawi ke mafhom aur is ehkamaat ki roshni mein ye baat wazeh hojati hai ke kisi maqam wabai marz ke photnay ki soorat mein ye hidayat di gayi hain ke jahan ye marz phoota hai wahan ke loog apna maqam chode kar naqal makani na karen jabkay deegar mehfooz maqamat ke loog wabai marz se mutasirah ilaqa ka dora na karen.

Sharai ehkamaat mein ye hikmat e amli posheeda hai ke jo loog mutasirah ilaqay mein mojood hain agar wo wahan se mehfooz maqam par naqal makani karte hain to khadshaat hain ke un ke sath wo marz mehfooz maqamat ko bhi apni lappet mein le le aur jo afraad mehfooz maqamat par hain agar wo mutasirah ilaaqoun ka dora karte hain to mumkin hai ke wo bhi is marz mein mubtala ho jaien. Ye hi wajah hai ke Pakistan ke wazeer e azam Imran Khan ke faislay se Saudi Arab ke faislay par jin sarfeen ne tanqeed ka hathyaar uthaya hai inhen shayad is sharai ehkamaat aur uski hikmat amlyoun ka ilm nahi hai. Doosri janib jo loog sharai ehkamaat aur Scientific haqayiq se waaqif hain, Unhoun ne Imran Khan aur Saudi Arab ke faislon ki sataish ki hai.

”Hazrat Saad (RZ) bayan karte hain ke Nabi ( ﷺ ) ne farmaya: Jab tum kisi ilaqay mein taoon ke baray mein suno to is mein na jao aur agar kisi ilaqay mein taoon phail jaye aur tum is mein ho to is se na niklo.”

Is hadees ko Bukhari aur Muslim, Dono ki tasheeh haasil hai.

Ab yahan sharai ehkamaat aur rahnumai mein taoon ka tazkara mil raha hai jabkay is waqt saari duniya Coronavirus se pareshan hai to is ki wazahat mein Mufti Tarek Masood Sahib ke mukhtaser bayan ne kayi sawalaat ke jawabaat faraham kardiye hain ke ye ehkamaat wabai marz ke liye hi chahay wo maazi ke taoon ke ho ya phir is waqt ke Coronavirus ke hon ya phir mustaqbil mein koi aur Virus ya wabai marz ho sab ke liye rahnumai kar di gayi hai.

Yaad rahay ke Islami taawun tanzeem OIS, Arab Parliament, GCC sameit mukhtalif idaroun aur mumtaz shaksiaat ne Umrah, Ziyarat aur sayahat par Saudi Arab ki pabandi ki himayat karte huve kaha hai ke Saudi qayadat ne ye faisla zaireen ki salamti ki khatir kiya hai.

Saudi Arab ne 27 Feb ko Coronavirus ke philao ke khadshay ke baais Umrah ya Masjid Nabawai ﷺ ki ziyarat ke liye anay walay afraad ka mumlikat mein dakhela earzi tor par moattal karne ka elaan kiya tha. Islami taawun tanzeem ( OIC ) se apne bayan mein kaha ke wo zaireen, Muqami shehrioun aur yahan muqeem ghair mulkioun ki salamti ke liye intahi hifazati tadbeer ke tor par Umrah, Ziyarat aur sayahat par pabandi ke Saudi faislay ko maqool aur munasib samjhti hai. Wo is ahteyati tadbeer ki taied o himayat karti hai. Bayan mein kaha gaya hai ke Saudi Arab ka ye faisla sahet ke hawalay se aalmi idaroun aur tanzeemoun ke muqarrar kardah miyaar ke ain mutabiq hai.

Umrah Visa par anay waloun ke liye Saudi Arab ki pabandi nahi hai, Is se qabal Ebola ki waba ke pesh e nazar Congo sameit kayi mulkoun ke zaireen par pabandi lagai ja chuki hai. Aqwam Mutahidda ki ohdedar Dr. Sulaya Nowa ke bamujab duniya mein koi mulk aisa nahi jo Saudi Arab ki terhan Hajj mausam mein insanoun ke Jam e Ghafeer ko nihayat marboot shakal mein aala miyaar ke sath munazzam karta ho. Saudi Arab ye kaam har saal kar raha hai. Janoobi Africa ne World Cup ki maizbani ke douran Saudi Arab ke isi tajarbay se faida uthaya tha.

Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq Umrah zaireen ke Saudi Arab mein dakhlay par pabandi ke hawalay se Saudi Arab sameit mukhtalif mumulk ke ulma ne wazeh kiya hai ke ye zaireen ki salamti aur hifzaan sahet ke hawalay se zurori ahteyati tadbeer hai, Is ki taied ki jati hai.

Pabandi aed kiye jaanay ka ek bada sabab ye hai ke Umrah aur ziyarat par anay waloun ko Coronavirus se mehfooz rakha ja sakay. Jo loog Umrah ya ziyarat par Saudi Arab atay hain wo Mecca Mukaramah mein Masjid Ul Haram aur Madina Munawwara mein Masjid Nabawi ﷺ mein haazri dete hain. Un dono maqamat par duniya bhar ke mulkoun se anay walay zaireen kaseer tadaad mein jama hotay hain.

Coronavirus se mutasir baaz afraad ko khud pata nahi hota ke wo is marz mein mubtala hain, Aisay mein khadsha hota hai ke wo dosaroun ko bhi mutasir kar satke hain. Saudi Arab ne mazkoorah pabandi isi tanazur mein lagai hai taakay zaireen ki salamti yakeeni ho sakay. Saudi hakkaam baar baar elaan kar chuke hain ke abhi tak mumlikat mein Coronavirus ka koi mareez Record par nahi aaya taham ahteyati tadbeer ka taqaza hai ke Umrah mausam mein duniya bhar se anay walay zaireen ke zariye mumkina tor par Coronavirus ki muntaqili ka sad-e-baab kiya jaye. Saudi hukoomat aur awam zaireen ki salamati ko apni bharpoor zimma daari samajte hain wo zaireen ko is aafat mein mubtala honay se bachanay ke liye jumla iqdamaat ko zurori qarar daye rahay hain.

Asharq Al-Awsat ke mutabiq Arab wazraye sahet aindah mah Cairo mein Coronavirus se nimatnay ke liye zurori iqdamaat ka faisla karne ke liye khusoosi ijlaas karen ge. Misar ke wazeer uqaaf Dr. Mohammad Mukhtaar Jummay ne kaha ke ye faisla nuqsaan se bachao aur zaireen ke mafaad ki khatir kiya gaya hai. Hassan Al-Thawadi ne kaha ke Saudi hakkaam ne ye faisla sab ke mafaad mein kiya hai. Is par wo hum sab ke shukriya ke mustahiq hain. –YTN STAFF