Friday, May 3, 2024
HomeSliderUmrah ki adaigi ke liye har fard ko 3 ghantoun ki ijazat

Umrah ki adaigi ke liye har fard ko 3 ghantoun ki ijazat

Mecca Mukarramah: Aaindah chand dinoun mein Umrah ke liye khana-e-kaaba ka tawaf karte kayi afraad nazar aayenge kyunkay 4 october ko Umrah ki ijazat hogayi lekin har shakhs ko Umrah ki bahaali ke pehlay marhalay ke douran Umrah karne ke Liye 3 ghantoun diye jayenge.

Pehla marhala 4 october ko shuru hona hai aur usay ek app ke zariye chalaya jayega. is mansoobay ke tehat muqaddas shehar ke aas paas ilaqay banaye jayenge jiske tehat 6 hazaar aazmeen ko har roz 6 mukhtalif auqaat mein Umrah ada karne ki ijazat di jayegi, jabkay ek hazaar Hujjaj-ikram ke har groups ko 3 ghantoun ki mahoolat dee jayegi.

Umrah companiyon ke ek sarmaya-car Ahmed ne kaha ke saudi hukoomat ne coronavirus ki wabaa ki wajah se unki muatali ke baad Umrah khidmaat ko dobarah shuru karne ka faisla kiya hai kyunkay khayaal hai ke ahteyati tadabeer ka ahteram karte hue musalmanoun ko umrah aur ziyarat karna chodna nahi chahye, pehle marhale may saudiyoun aur mumlikat may muqeem ghair mulki afrat ke liye umrah ki ijazat hogi, aglay marhalay mein Saudi arab ke bahar se anay walay zaireen ko jane ki ijazat hogi.

Pehlay marhalay mein riyasat ke andar se shehrion aur tarkin-e-watan ko 4 october se 30 feesad ki gunjaish se Umrah karne ki ijazat shaamil hogi, jo yomiya 6 hazaar Hujjaj ke barabar hai. dosra marhalay mein azeem ul shan masjid ki gunjaish 75 feesad tak badha degi, jis mein 18 october se yomiya 15 hazaar Hujjaj aur 40 hazaar namazi shaamil honge.

Teesray marhalay mein, beron mulk se anay walay zaireen ko 1st November se Umrah karne ki ijazat hogi jis mein 20 hazaar zaireen aur 60 hazaar namazion ki gunjaish hai. Unhoun ne kaha ke haal hi mein munaqidah ek forum mein pehlay marhalay mein 30 feesad salahiyat par tabadlah khayaal kiya gaya. dosray marhalay mein 75 feesad gunjaish mein mazeed towsee ki ijazat denay se pehlay, aur teesray marhalay mein mumlikat se bahar anay walay zaireen ko umrah ki ijazat hogi.