Wednesday, May 1, 2024
HomeSliderUmrah khidmaat ke liye 500 se zayed afraad ka taqarrur

Umrah khidmaat ke liye 500 se zayed afraad ka taqarrur

Mecca Mukarammah: Saudi Arab ki janib se Coronavirus ke wabai amraaz ki wajah se aazmeen Hajj par earzi pabandi khatam honay ke baad Umrah ada karne walay aazmeen ki khidmaat ke liye 500 se zayed afraad ke taqarrur kiye gaye hain. Masjid Al Harmain ke umoor ke General Awaan-e-sadar ne 531 mulazimeen ko mulazimat di hai jo har rooz 6000 zaireen behtar sahuliyaat faraham karne ke liye 3 shifts mein kaam karen ge taakay Umrah ke adaigi corona bohraan mein bhi behtar tareeqa se anjaam ho.

Awaan-e-sadar ne kaha ke Hujjaj Ikraam ka Masjid Al Haram pounchanay ke lamhay se hi un ka khayaal rakha jaye ga jab tak ke woh apna Umrah mukammal nah karen, Taakay is baat ko yakeeni banaya jasakay ke Umrah ko mehfooz tareeqay se anjaam diya jaye. Awaan-e-sadar ne kaha ke aazmeen ki hifazat aur Virus ke phelao ko roknay mein madad ke liye sakht sehat ke iqdamaat muta-arif karwaye gaye. Alawa azeen maamar aur mazoor afraad ke liye tawaif ki adaigi ke liye makhsoos saf bandi ke liye Truck line daaley gaye hain.

Muqaddas Masajid ke intizamia ki janib se jari kardah bayan mein kaha gaya hai ke Umrah ko mehdood karne ka programme kamyabi se agay badh raha hai jis se har ghanta mein 3 hazaar zaireen Umrah ki saadat haasil kar rahay hain. Masjid Al Haram ke intizamia ne kaha hai ke Umrah khidmaat ke liye taqarrur kardah mulazimeen 3 shifts mein apni khidmaat anjaam day rahay hain aur har shift mein 159 ohdedar apni khidmaat par mojood reh rahay hain.

Yeh loog Masjid Al Haram ke sehan mein Umrah ke liye pounchanay walon ko khush aamdeed kehte hue kher muqaddam karte hain aur jab yeh loog Umrah ki saadat haasil karne ke baad wapas apne maqamat ki simt rawan dawaan hotay hain to inhen ’Alvidah’ kaha jata hai. Intizamia ne mazeed kaha hai ke khanah kaaba ke atraaf tuwaf ke liye lines bana di gayi hain. Umrah karne walay ek line se apni ibadat shuru karte hain to doosri line ki shakal mein chaltay chalay jatay hain. Pehla chakkar dasvin line se shuru hota hai aur teesri line par pahunchte pahunchte un ka tuwaf mukammal hojata hai.