Monday, April 29, 2024
HomeSliderUmrah aur ziyarat Masjid Nabawi par earzi pabandi

Umrah aur ziyarat Masjid Nabawi par earzi pabandi

Riyadh: Duniya bhar mein tezi ke sath phelnay walay Coronavirus ke badhatay khatraat ke pesh e nazar Saudi Arab ki hukoomat ne Coronavirus se mutasirah mumalik se Umrah zaireen ki aamad earzi tor par roknay ke sath Masjid Nabawi ke ziyarat par bhi pabandi laga di hai.

Tafseelaat ke mutabiq Saudi Arab ki hukoomat ne Corona se mutasirah mumalik se sayahati Visas par anay walay shehrioun ko bhi mumlikat mein dakhlay se roknay ka faisla kiya hai. Wizarat kharja ne kaha hai ke hukoomat ne sayahati aur Umrah Visa jari karne ka amal rokk diya hai.

Wizarat kharja ne ek bayan mein mazeed kaha ke Saudi shehrioun aur khaleej taawun council mein shaamil reyastoun ke shehrioun ke mumlikat mein safar ku moattal kar diya. Taham beroun mulk Saudi shehri is pabandi se mustasna hain. Wo mumlikat mein wapas aa satke hain. Qaumi shanakti Card rakhnay walay afraad aur khaleej taawun council ke bashinday Saudi Arab se baher apne mulkoun ko safar kar saktay hain.

Hukoomat ki taraf se wazeh kiya gaya hai ke Umrah zaireen aur Masjid Nabawi ki ziyarat par pabandi earzi iqdamaat hain jin ka maqsad Coronavirus ke khatraat ki rokk thaam karna aur mumlikat aur duniya bhar ko is virus se bachanay mein madad karna hai. Is ke ilawa Saudi wizarat kharja ne shehrioun se mutalba kiya ke wo naye Coronavirus ke phelao ka saamna karne walay mumalik ka safar na karen. Wizarat baraye umoor kharja ne kaha ke mumlikat Saudi Arab mein sahet ke hukkaam naye Coronavirus ke phelao mein honay wali pesh raft par gehri nazar rakhay huve hain. Is hawalay se mumlikat bain ul aqwami mayarat par amal daraamad ko yakeeni banaye gi.

Khayaal rahay ke China mein 2 mah qabal samnay anay walay Coronavirus ke nateejay mein dhai hazaar afraad afraad halaak ho chuke hain jab ke China ke baad ab waba duniya ke 3 darjan mumalik mein phail chuki hai. China ke baad Iran dosra bada mulk hai jo Corona se mutasir huwa hai jab ke Corona ki waba kheliji Arab mumalik tak poanch gayi hai. –YTN STAFF