Thursday, March 28, 2024
HomeTrending NewsUighurs Musalmanoun par China ka zulm, America ne Communist ohdedaroun par pabandi...

Uighurs Musalmanoun par China ka zulm, America ne Communist ohdedaroun par pabandi ayed kar di

New York: America ne Uighurs Musalmanoun ke haqooq ki mobayyana pamali par China ki communist party ke 4 ohdedaroun ke khilaaf muashi pabandiyan ayed kar di hain. Khabar rasan idaray ke mutabiq Americi mehakma khazana ki janib se jari honay walay bayan mein China ke maghribi soobay Xinjiang ki communist party ke sarbarah ke ilawa Xinjiang ke public security Bureau par bhi muashi pabandiyan laganay ka elaan kiya hai.

White House ke ohdedar ney kaha ke deegar mumalik ko bhi Communist party ke Xinjiang ki Musalman aqliati jamaatoun par mazalim ke khilaaf aawaz uthani chahiye. Unhoun ney kaha ke Uighurs Musalmanoun ko ghair qanooni tor par qaid kiya gaya, Mazhab ki bunyaad par harasan kiya gaya aur paidaiesh par jabran pabandi ayed ki gayi.

Media ke mutabiq America mein China ke sefaratkhane ki janib se Americi haliya iqdamaat par filhaal rad-e-amal samnay nahi aaya hai. Wazeh rahay ke China ke soobay Xinjiang mein Uighurs Musalmanoun ki aksariyat hai jin ke sath mobayyana bud sulooki aur insani haqooq ki khilaaf warzion par cheeni hukoomat ko tanqeed ka nishana banaya jata raha hai.

America is se pehlay bhi China ki hukoomat ke Uighurs Musalmanoun ke sath mutassbana ravayye par aawaz uthata raha hai aur Hong Kong mein China ke khilaaf jari muzahiroun ki bhi himayat karta raha hai, Jabkay China ney hamesha un ilzamaat ki tardeed ki hai.

Cheeni communist party ke aala ohdedaroun ke khilaaf muashi pabandiyan aalmi Act ke tehat lagai gayi hain jo Americi hukoomat ko insani haqooq ki pamali karne waloun ke khilaaf karwai karne ka haq deta hai. Is qanoon ke tehat paband afraad ke Americi asasay munjamad kar diye jayen ge, Inhen America safar karne ki ijazat nahi ho gi nah hi Americi shehri un ke sath kaarobar kar saken ge.

Muashi pabandiyan cheeni Communist party ke taaqatwar Politburo ke rukan Chen, Xinjiang ki Communist party ke sabiq deputy party secretary  Zhu Hailun, Xinjiang public security Bureau ke Huo Liujun Xinjiang Communist party ke sarbarah Wang Mingshan, Aur sabiq party secretary Huo Liujun par aayed ki gayi hain.

Americi secretary kharja Mike Pompeo  ne bayan mein kaha hai ke wo un afraad aur un ke ahal khanah par visa pabandiyan bhi ayed kar rahay hain jis ke baad ye America mein nahi daakhil ho saken ge. Americi mehakma khazana ne mazeed kaha kay Politburo ke rukan Chen  senior tareen cheeni ohdedar hain jin par muashi pabandiyan lagai gayi hain. Americi mehakma khazana ke mutabiq Chen ne Xinjiang public security Bureau ke zariye Uighurs Musalmanoun sameit deegar aqlitoun ki jasoosi karwai, Inhen qaid mein rakha aur zabardasti zehni khayalat tabdeel karne ki koshish ki gayi. Aqwam mutahidda ke andazay ke mutabiq taqreeban 10 lakh se zayed musalman Xinjiang ke mukhtalif campon mein qaid hain.