Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsUighurs Musalam par zulm-o-zayad-ti ki khabrain be bunyaad: China

Uighurs Musalam par zulm-o-zayad-ti ki khabrain be bunyaad: China

New Dehli: China ne maghribi media mein soobah Xinjiang mein Uighurs musalmanoun par zulm-o-zayadti ki reportes ko be bunyaad, Manfi aur dohray mayarka saboot qarar diya hai aur kaha hai ke bain-ul-aqwami baradri ko yaqeen hai ke Xinjiang mein dehshat gardi aur intahaa pasandi ka khtama karne ki koshishen aqwam mutahidda ki palicies ke tehat ho rahi hain aur logoun ke tamam qanooni huqooq mehfooz hain.

Cheeni sifarat khane ki taraf se yahan jari ek bayan mein hindustan mein China ke safeer  Sun Weidong ne ye baate kahin. Sun Weidong ne kaha ke haal hi mein kuch maghribi media tanzeemoun ne Xinjiang se kuch naam nihaad lake dastawizaat ki bunyaad par aur soobay mein karobari taleem aur tarbiyat ko le kar badha chadha kar raye pesh ki hai. Un ke manfi rawayya kaya saboot hai ke wo insadad dehshatgardi aur taasub ke khatmay ke iqdamaat par dohra miyaar apna rahay hain aur Xinjiang se mutaliq mamlaat ka istemaal China ke androoni mamlaat mein mudakhlat ke liye kar rahay hain.

Safeer ne kaha ke Xinjiang ka mauzo mukammal tor par China ka gharelo maamla hai. Is ka maamlah Nasal, Mazhab ya insani haqooq se munsalik nahi hai balkay tashadud, Dehshat gardi aur alehadgi pasandi se nimatne ke mutaliq hai. Saal 2015 se China ne Xinjiang mein insidaad-e-dehshat gardi aur kattar pan ke khatmay ki koshisho aur karobari taleem-o-tarbiyat ke kamoun par saat qirtaas Abyaz jari kiye hain jin mein bohat wazeh tor par aur tafseelaat faraham ki jarahi hai ke Xinjiang mein kiya ho raha hai.

Unhoun ne kaha ke soobay mein karobari taleem-o-tarbiyat ke marakaz qanoon ke mutabiq hi qaim kiye gaye hain aur wo kahin bhi nazar bandi ke camp nahi hain. Tarbiyat haasil karne waloun ko tamam qanooni haqooq mukammal tor par mehfooz hain aur un ki azaadi par koi pabandi nahi hai. Xinjiang mein guzashta 3 saal se koi pur-tashaddud dehshat grdanah hamla nahi huwa hai aur ab wahan teezi se iqtisadi taraqqi ho rahi hai, Samaji istehkaam, Nasli ittehaad aur mazhabi hum ahangi badh rahi hai. Logoun ki zindagi, Sahet aur taraqqi aur deegar haqooq mehfooz kiye gaye hain aur hukoomat ke iqdamaat par tamam firqa ke groupoun ne himayat ki hai.

Sun Weidong ne kaha ke guzashta 1 saal mein 1 hazaar se zayed ghair mulki sifarat karoun, bain-ul-aqwami tanzeemoun ke ohdedaroun aur 90 se zayed mumalik ki media ne un pesha warana tarbiyat ke marakaz ka jaiza liya hai aur un mein se ziyada tar ne kaha hai ke Xinjiang ki misaal dehshat gardi se nimatne aur insani haqooq ki hifazat ke liye aqwam mutahidda ki policies ke mutabiq hai aur deegar mumalik is se sabaq haasil kar satke hain. –YTN STAFF