Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaUddhav Thackeray ne apni kabeena mein ki towsee, Betay samait 35 wazraa...

Uddhav Thackeray ne apni kabeena mein ki towsee, Betay samait 35 wazraa ko kiya shaamil

Mumbai: Maharashra ke wazeer aala Uddhav Thackeray  ne peer ko yahan kabeena ke 25 aur 10 wazeer mumlikat ke ohday par mushtamil betay Aaditya Thackeray samait 35 wazraa ko shaamil karkay apni kabeena mein towsee ki. Sabiq wazeer aala Ashok Chavan, Counsel mein sabiq quied oppostion  Dhananjay Munde, Sabiq speaker Dilip Walse-Patil,  Aur NCP ke tarjuman Nawab Mulk ko kabeena ke wazeer banaya hai.

Reyasti Governor BS Koshyari ne Vidya Bhavan mein naye wazraa ko ohday o raazdari ka halaf dilaya. Halaf bardari ki taqreeb mein wazeer aala Uddhav Thackeray aur NCP ke sarbarah Sharad Pawar bhi mojood they. Is douran sab ki nazrain wazeer aala Uddhav Thacleray  ke farzand Aaditya Thackeray par then, Jinhoun ne ohda wizarat ka halaf liya.

Kabeena mein 3 khawateen ko bhi shaamil kiya gaya hai. NCP ki  Aditi Tatkare  ( MOS ) aur Congress ki Varsha Gaikwad aur Yashomati Thakur, Dono kabini wazeer. 2014 ke baad pehli baar, Wizarat mein 4 musalmanoun ko shaamil kiya gaya hai, Maslan Shive Sena ke Abdul Sattar Nabi ( MOS ), NCP ke mulk aur  Hasan Mushrif, Aur congress ke Aslam Shaikh,, Tamam kabeena wazeer banaye gaye hain.

Dosray baday naamoun mein,  Anil Parab, Vijay Wadettiwar, Jitendra Awhad, Anil Deshmukh, Amit Vilasrao Deshmukh, Rajesh Tope, and MoS Satej Patil, Vishwajeet Kadam aur Bachu Kadu shaamil hain. Chunkay 28 November ko 6 wazraa ne Thackeray ke sath halaf liya tha, Peer ke roz ki tuseer ne wazeer aala ke sath sath unki wizarat ki taaqat 41 se ziyada hogayi.

Wazeh ho ke Maharashra Assembly intikhabaat mein BJP ko 105, Shive Sena ne 56, NCP ko 54 aur Congress ko 44 nashistain mili hain. BJP aur Shive sena ne milkar aksariyat ke liye 145 ka number uboor kar liya tha, Lekin Shive Sena ne 50-50 farmole ka mutalba kiya. Jis ke mutabiq dhai dhai saal hukoomat chalanay kaayk model tha.

Shive Sena ka kehna hai ke BJP ke sath moahida is farmole par huva tha, Lekin BJP ka daawa hai ke aisa koi moahida nahi huva tha. Is se ikhtilaaf itnay badh gaye ke dono fareeqoun ki 30 sala purani dosti toot gayi. Is ke baad Shive Sena  ne baday dramayi waqeat ke baad NCP. Congress aur RJD se mil kar hukoomat banai. –YTN STAFF