Wednesday, May 8, 2024
HomeIndiaUddhav ke pehlay ijlaas mein kisanoun ke liye mo-asar iqdamaat ka elaan

Uddhav ke pehlay ijlaas mein kisanoun ke liye mo-asar iqdamaat ka elaan

Mumbai: Maharashtra naye Chief Minister Uddhav Thackeray ki sadarat mein honay walay pehlay kabeena ijlaas mein elaan kiya hai ke raye Raigad qela mein Chhatrapati  shiwaji maharaj ke dar-ul-hukoomat ki taamer no ke liye 20 crore rupiye ki manzoori di gayi hai. Uddhav ne kaha ke is mansoobay par 600 crore rupay laagat aeye gi, Jo maazi mein 20 crore rupay kharch kar chukay hain.

Ye wada karte hue ke maha vikas Aghadi ki qayadat Maharashtra ko ek mustahkam hukoomat den ge, Thackeray ne kaha ke wo kisanoun ki madad ke maqsad se tamam reyasti aur markaz ki Schemes ke nifaz ki haqeeqat ko chanchen ge. Mein sirf yaddashtien aur elanaat nahi chahta hon. Mein zameeni haqeeqat dekhanaa chahta hon jab baat kisanoun ki ho. Haqeeqat ye hai ke karz maffi ke baad bohat se afraad ko faida nahi huwa. Mein ye dekhanaa chahta hon ke ye raqam kisanoun ko millti hai ya nahi. Davindra Fadnavis ki mushtarqa kam se kam programme par tanqeed ke jawab mein, Jis mein Marathwada, Vidarbha aur shumali Maharashra ka zikar nahi hai unhoun ne kaha ke kabeena ka nuqta nazar poori riyasat ke liye hai, Kisi khaas khittay ke liye nahi. Unhoun ne ye bhi kaha ke hukoomat ka maqsad Maharashtra ko mulk ki ek behtareen aur taraqqi Yafta riyasat banana hai.

Yaad rahay ke Maharashtra ke naye Chief Minister Uddhav Thackeray ne jummay ko baqaida tour par apni zimma dariyan sambhaal li hain. Thackeray ki qayadat mein jumaraat ko Shive Sena, Nationalist congress party ( NCP ) aur Congress ke ittehaad wali maha vikas Aghadi ne Eqtedar sabhal lia hai. Naye chief Minister Thackeray ne wizarat poanch kar wahan lagi Chhatrapati shiwaji maharaj ki tasweer par qulaye aqeedat pesh kiye. Is se qabal Thackeray janoobi Mumbai mein Hutatma Chowk par ruke aur kharaj aqeedat pesh kiya. –YTN STAFF